لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Hind ye zainab hai

Syed Raza Abbas Zaidi2018
ShiaNohaLyrics
Jis waqt aseero'n se milne hind aayi kaneezo'n ko lekar ye odhe hue thi sar pe rida be parda thi bint e haider hairaan nigaho'n se isne jab dekha bibi zainab ko..(2) naize se sada deta tha yeh us waqt mere mazloom ka sar tu zara pehchaan ise hind ye zainab hai..(4) 1. Shaam ke logo ne jo patthar maare hai kaise qarz utare hai..(2) tazeem me uthe jiski ali beti wo yehi hai zehra ki ab khaak pe hai jo baithi hui kufe me isi ki shahi thi tu zaraa pehchaan ise hind ye zainab hai..(2) 2. Daur madine ka wo tune dekha tha iska ghazi zinda tha..(2) ab kaisi fiza ye badli hai majboor bahan pardesi hai azaad kiya tha jisne tujhe wo shehzadi ab qaidi hai tu zaraa pehchaan ise hind ye zainab hai..(2) 3. Iska adab is tarha ghar mein hota tha naam koi na leta tha..(2) par ispe hui ye kaisi jafa khoo'n rone laga beta mera karte hue jis dum mai noshi hakim ne iska naam liya tu zaraa pehchaan ise hind ye zainab hai..(2) 4. Jis kuche se guzri teri shahzadi ek sada ye aati thi..(2) aate hai hakim ke qaidi badla le aakar har shami phir khoon mein doobi ye bibi pehchan na paya isko koi tu zaraa pehchaan ise hind ye zainab hai..(2) 5. Laashe akbar ran se jab mai laaya tha khaimo mein kohram hua..(2) sehre ki jagah dekha laasha bardasht na kar payi dukhiya mehendi to nahi hai hatho mein balo me lahu hai akbar ka tu zaraa pehchaan ise hind ye zainab hai..(2) 6. Kaise batau dukh jo isne paye hai kitne durre khaye hai..(2) kaato'n pe chali hai rote hue payro'n me pade iske chaale ab kaise milayegi nazre chupti hai ye fizza ke piche tu zaraa pehchaan ise hind ye zainab hai..(2) 7. Pursa dene isko shami aate the haath mein patthar laate the..(2) dil zakhmi hua sar zakhmi hua baaghi ka ise taana bhi mila balo'n se banati hai parda ye tujhse chupati hai chehra tu zara  pehchaan ise hind ye zainab hai..(2) 8. Sheh ye takallum bole hind ye zainab hai ha'n ye bibi zainab hai..(2) tujhko bhi yaqee'n aajayega jaldi se kaneezo se mangwa tazeem ko iski uthega qura'n rehel pe rakha hua tu zaraa pehchaan ise hind ye zainab hai..(4)