لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Laash akbar ki

Syed Raza Abbas Zaidi2018
ShiaNohaLyrics
Haye akbar jawa'n, mera jawa'n haye akbar jawa'n..(2) laash akbar ki mere saath uthao amma..(2) aake maqtal mein mera haath batao amma..(2) haath batao amma.. laash akbar ki mere saath uthao amma 1. Guthniyo chalta hua laash talak aa to gaya uski khushbu se mai akbar ka pata paa to gaya dil ki quwat magar is baar mujhe chahiye hai quwat e haider e qarraar mujhe chahiye hai aake maqtal mein mera haath batao amma haath batao amma.. laash akbar ki mere saath uthao amma 2. Humne socha hi kaha'n tha ke ye dina ayega ye mera laal mere saamne mar jayega haal jo dil ka hai amma wo batau kaise naujawani ko zaeefi mein uthau kaise aake maqtal mein mera haath batao amma haath batao amma.. laash akbar ki mere saath uthao amma 3. Haath ka zor gaya dil ki tawanayi gayi hosla toot gaya aankh se beenyi gayi tere shabbir ka ab dil na sambhal payega dum mera saath mein akbar ke nikal jayega aake maqtal mein mera haath batao amma haath batao amma.. laash akbar ki mere saath uthao amma 4. Apni tanhayi ka kya haal batau tumko zakhm e dil khol ke kis tarha dikhau tumko aaj pehlu pe rakha haath utha le amma laash ko mai, mujhe aap sambhale amma aake maqtal mein mera haath batao amma haath batao amma.. laash akbar ki mere saath uthao amma 5. Aap sirhane pe aajaye to kuch haath bate yaa se khaime ka safar amma tere saath kate amma akbar ke jo seene pe nazar padti hai jaise ek aur sina dil mein mere gadhti hai aake maqtal mein mera haath batao amma haath batao amma.. laash akbar ki mere saath uthao amma 6. Haye sehre ki jagah khoon hai mathe pe saja naiza zalim ka hai is chaand se seeene pe laga dil ke armaan ko hai khaak mein milte dekha ediya'n khaak pe hai isko ragadte dekha aake maqtal mein mera haath batao amma haath batao amma.. laash akbar ki mere saath uthao amma 7. Bhai abbas jo hota to madad ko aata laasha akbar ka mere saath mein wo uthwata is mere sher ka laasha jo mere haath mein hai amma ab saath mei tum ho ya khuda saath mein hai 8. Hum likhe jaate hai aur sheh ka karam bolta hai bil yaqee'n dil ki zubaa'n mera qalam bolta hai saari duniya mein raza sahib e tauqeer hu mai nauhakhwani mein sare hazrat e shabbir hu mai aake maqtal mein mera haath batao amma haath batao amma.. laash akbar ki mere saath uthao amma saath uthao amma..(3)