لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Sayyeda ka mohsin hai

Syed Raza Abbas Zaidi2018
ShiaNohaLyrics
Haye Zahra... Haye Mohsin... Haye Zahra... Be 'aay e zambin- qutilat... Hassan Hussain se pehle shahid-e kamsin hai... Woh koi aur nahi, Sayyada ka Mohsin hai... 1. Hua shahid jo deewar-o dar ke beech aakar Jise bachaane se zakhmi hai pehlu-e maadar Udaas iske liye raat ghumzada din hai... Woh koi aur nahi, Sayyada ka Mohsin hai... Hassan Hussain se pehle shahid-e kamsin hai... Woh koi aur nahi, Sayyada ka Mohsin hai... 2. Woh jisne karbobala ka safar kiya hi nahi Zabaa'n se jisne abhi maa ko maa kaha hi nahi Woh jhulta kisi jhule me kya yeh manzar hai... Woh koi aur nahi, Sayyada ka Mohsin hai... Hassan Hussain se pehle shahid-e kamsin hai... Woh koi aur nahi, Sayyada ka Mohsin hai... 3. Ali ne aisa janaza kaha'n uthaya hai Shaheed hoke jo maidaan-e ghum me aaya hai Woh sheerkhwar jo na waaqif e qadosin hai... Woh koi aur nahi, Sayyada ka Mohsin hai... Hassan Hussain se pehle shahid-e kamsin hai... Woh koi aur nahi, Sayyada ka Mohsin hai... 4. Woh jisko ghusl-o-kafan ki kaha'n zaroorat thi Woh jiske tann pe ba-misle khuda taharat thi Jo karbala ki zamee'n ka imam-e zamin hai... Woh koi aur nahi, Sayyada ka Mohsin hai... Hassan Hussain se pehle shahid-e kamsin hai... Woh koi aur nahi, Sayyada ka Mohsin hai... 5. Chupa rahe hai musalma'n isi shaheed ki baat Gawaah jiski shahadat ki hai Khuda ki zaat Yeh qatl sab pe ayaa'n hai kaha'n yeh baatil hai... Woh koi aur nahi, Sayyada ka Mohsin hai... Hassan Hussain se pehle shahid-e kamsin hai... Woh koi aur nahi, Sayyada ka Mohsin hai... 6. Qasam Khuda ki ba-misle Hussain ibn-e Ali Shaheed hogaya lekin madad kisi ki na li Malool iske liye qaum-e-Zaafare jinn hai... Woh koi aur nahi, Sayyada ka Mohsin hai... Hassan Hussain se pehle shahid-e kamsin hai... Woh koi aur nahi, Sayyada ka Mohsin hai... 7. Isi ke azm ki taqleed ki hai Asghar ne Ise shaheed kiya hai sitam ke lashkar ne Malool teghe Ali is shaheed ke binn hai... Woh koi aur nahi, Sayyada ka Mohsin hai... Hassan Hussain se pehle shahid-e kamsin hai... Woh koi aur nahi, Sayyada ka Mohsin hai... 8. Firaaq-e hazrate Mohsin me margayi Zahra Kisi bhi maa pe na utre yeh be-amaa'n sadma Yeh dard samjhega 'Rehan' jo bhi mo'min hai... Woh koi aur nahi, Sayyada ka Mohsin hai... Hassan Hussain se pehle shahid-e kamsin hai... Woh koi aur nahi, Sayyada ka Mohsin hai...