لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Abbas mar gaye ali akbar juda hua

Syed Raza Abbas Zaidi2020
ShiaNohaLyrics
Haye Hussain, haye hussain haye tanhayi meri, haye tanhayi meri, haye tanhayi meri Abbas mar gaye ali akbar juda hua hum se kisi ne ye bhi na pucha ke kya hua Abbas mar gaye ali akbar juda hua hum se kisi ne ye bhi na pucha ke kya hua..(2) 1. Wa hasrata ke toot gayi hai meri kamar wa ghurbata ab aankho'n se aata nahi nazar jeene ka ab jawaaz hamare nahi raha Abbas mar gaye ali akbar juda hua hum se kisi ne ye bhi na pucha ke kya hua..(2) 2. Khali alam utha ke mai khaime mein le gaya laaya hu tanha laasha e hamshakl e mustafa ek dopahar mein hum pe sitam kaisa hogaya Abbas mar gaye ali akbar juda hua hum se kisi ne ye bhi na pucha ke kya hua..(2) 3. Ghazi ke tukde dekh ke, tukde hua jigar daadhi safed hogayi akbar ki laash par ek dopahar mein hum pe sitam kaisa hogaya Abbas mar gaye ali akbar juda hua hum se kisi ne ye bhi na pucha ke kya hua..(2) 4. Kehte hai ab bulaiyye imdaad ke liye bolo hussain akbar o ghazi kaha'n gaye dete hai taane purse ke badle ye ashqiya'n Abbas mar gaye ali akbar juda hua hum se kisi ne ye bhi na pucha ke kya hua..(2) 5. Socha tha mujhse aake kahenge ye kalma goh dono ka pursa dene hum aaye hai aapko hasrat ye leke qabr mein mazloom jayega Abbas mar gaye ali akbar juda hua hum se kisi ne ye bhi na pucha ke kya hua..(2) 6. Mar jaye gar kisi ka koi bhai ya pisar usko dilase dete hai sab log maut par haye magar hamari ghareebi ki intehaa Abbas mar gaye ali akbar juda hua hum se kisi ne ye bhi na pucha ke kya hua..(2) 7. Charo'n taraf hai teero ki bochar dekh lo hum par sabhi uthate hai talwaar dekh lo zainab batao ab kaha'n jaakar kare gila Abbas mar gaye ali akbar juda hua hum se kisi ne ye bhi na pucha ke kya hua..(2) 8. Khanjar tale bhi sheh ko takallum yahi tha ghum kitne ghareeb hogaye karbobala mein hum khanjar rawa'n tha padte the maula ye marsiya Abbas mar gaye ali akbar juda hua hum e kisi ne ye bhi na pucha ke kya hua..(2) haye tanhayi meri, haye tanhayi meri, haye tanhayi meri