لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Arzoo e azadar

Syed Raza Abbas Zaidi2020
ShiaNohaLyrics
Maula maula mere maula maula mere maula..(2) Zindagi mein ho karam, mujhpe bhi mere sarkar chhote hazrat se kahe mujhko banade zawwar zindagi mein ho karam.. 1. Maula ek baar mujhe izn e ziyarat dedo tumko zehra ki qasam mujhko ijazat dedo zindagi kam hai bohot thodi si mohlat dedo..(2) mera samaan e safar kabse rakha hai tayyar chhote hazrat se kahe mujhko banade zawwar zindagi mein ho karam.. 2. Babe saqi e atash par jo nazar jaaegi yaad masoom sakina ki bohot aayegi laash par teri jaha'n ro na sake ehle haram..(2) ek zamana hai waha'n aaj tera matam daar Jab shaam o safar fatema zahra tujhe roye Abbas tera haq hai zamana tujhe roye..(2) zindagi mein ho karam.. 3. Jhula asghar ka rakha hai jaha'n ek hujre mein aisa lagta hai waha'n maa kisi ek kone mein choom kar khoo'n bhara halqoom sada deti hai..(2) aankhein to kholo meri simt to dekho ek baar kooza lekar haatho'n mein wo tujhko dhundhne jaati hai kuch to bolo aankhein kholo asghar behen bulati hai Zindagi mein ho karam, mujhpe bhi mere sarkar chhote hazrat se kahe mujhko banade zawwar zindagi mein ho karam.. 4. Jab muqam e ali akbar pe padhunga nauha ayegi sughra ke rone ki madine se sadaa aaj bhi laash pe maa sehra liye roti hai..(2) baap ki aaj bhi hai laash e jawa'n pe ye pukaar Apne lahu mein aaj sawarne ke din na the akbar jawa'n abhi tere marne ke din na the..(2) zindagi mein ho karam.. 5. Khaima gaah dekh ke yaad ayega manzar saara aaye jab aakhri rukhsat ko ghareeb e zahra shor e girya se qayamat thi fizao'n mein bapa..(2) behen kehti thi ye karte huwe bhai ko sawaar Zainab ko har ek mod pe tadpayegi duniya yaad aaoge bhaiyya.. yaad aaoge bhaiyaa Zindagi mein ho karam, mujhpe bhi mere sarkar chhote hazrat se kahe mujhko banade zawwar zindagi mein ho karam.. 6. Jab muqam e kafe abbas pe jaana hoga kaise hoti hai kate haatho'n se dekhunga ataa za'eron ko yaha'n milti hai wafa ki saughaat..(2) mango sadqe mein sakina ke saja hai darbaar Dua to maang sakina ka waasta deke ye kaise hoga ke abbas aur ataa na kare..(2) zindagi mein ho karam.. 7. Tilla e zainabiya par na rukega girya behen ke saamne kaata gaya bhai ka gala jaa se zainab ne churi bhai pe chalte dekhi..(2) kehke maqtal mein chali rote hue wo ghumkhwaar Kya guzri hai tumpar, kuch to kaho sadqe gayi maa jayi hai zainab aye bhai hussaina, aye bhai hussaina..(2) Zindagi mein ho karam, mujhpe bhi mere sarkar chhote hazrat se kahe mujhko banade zawwar zindagi mein ho karam.. 8. Hogi jab nazre karam ghazi ki rehan o raza karbala jaake mai wapas jo watan aaunga log puchenge mera haal mai batlaunga kya..(2) ashk hai aankho'n mein aur dil ko nahi milta qaraar Ye dil bina hussain ke paaye sukoo'n kaha'n dil karbala mein reh gaya, mai aagaya yaha'n