لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Bhare darbaar mein muslim ka aana aur tha

Syed Raza Abbas Zaidi2020
ShiaNohaLyrics
Sajjad haye sajjad..(4) Kufe mein ujad kar karbal se jab rote hue qaidi pohche darbaar saja aur peshi hui abid pe za'eefi taree thi ek shaks ke jisne dekha tha..(2) darbaar mein muslim ka aana sajjad se kehta tha maula muslim ko yaha'n jab laaya gaya ba raub tha lehja, sar tha utha sar aapka lekin nahi uth-ta ankho'n se lahu kyu behte hai sajjad ye sunkar kehte hai..(2) Haye sajjad, haye sajjad.. Bhare darbaar mein muslim ka aana aur tha..(2) mera phupiyo'n ko apne saath laana aur hai..(2) 1. Chacha muslim ridayein maang kar roye nahi the magar saydaniya'n bhi berida hai saath mere wo tanha qaid hokar sar katana aur tha ridayein dekhte naizo'n pe aana aur hai Bhare darbaar mein muslim ka aana aur tha mera phupiyo'n ko apne saath laana aur hai..(2) 2. Watan se karbala tak saath saaya banke aaye chacha abbas parde mein phupi amma ko laaye phupi zainab ka woh mehmil me jaana aur tha bina chadar ke yu kufe mein aana aur hai Bhare darbaar mein muslim ka aana aur tha mera phupiyo'n ko apne saath laana aur hai..(2) 3. Isi kufe ke hakim jab mere dada Ali the riwayat thi hamari, hum ridayein baat-te the ridayein baatne ka wo zamana aur tha ridayein maangne ka ye zamana aur hai Bhare darbaar mein muslim ka aana aur tha mera phupiyo'n ko apne saath laana aur hai..(2) 4. Agar aulad wale ho to samjhoge ye sadma meri maa dekh aayi khaak par asghar ka laasha wo amma ka use lori sunana aur tha jale jhule ko seene se lagana aur hai Bhare darbaar mein muslim ka aana aur tha mera phupiyo'n ko apne saath laana aur hai..(2) 5. Sina seene pe maqtal mein ali akbar ne khayi mujhe karbal se ummat hai sare bazaar laayi sina ek baar hi seene pe khana aur tha musalsal qatl hote shaam jana aur hai Bhare darbaar mein muslim ka aana aur tha mera phupiyo'n ko apne saath laana aur hai..(2) Han azadaro na abid ke hue sadme tamaam baad kufe ke jo pohcha hai watan bazare shaam qafle ki raah mein phir ek sawali aagaya woh musafir naam jiska sehel ibn e saad tha pucha usne khoon maula ro rahe ho kis liye? tab ghareeb e shaam yeh, thaame kamar kehne lage 6. Sehel dekho sina ki nok par baba ka sar hai bandha ghazi ka sar bhi gardan e rahwaar par hai muqabil shamiyo ke un ka jaana aur tha mera bazaar mein kham hoke jaana aur hai Bhare darbaar mein muslim ka aana aur tha mera phupiyo'n ko apne saath laana aur hai..(2) 7. Sare abbas ko tab dekh kar sajjad bole chacha apne safar ka haal kitna mukhtalif hai wo har manzil pe khaimo ka lagana aur tha ye har manzil pe patthar sar pe khana aur hai Bhare darbaar mein muslim ka aana aur tha mera phupiyo'n ko apne saath laana aur hai..(2) 8. Ujad kar karbala se shaam tak mai aa chuka hu khuda jaane badan par zakhm kitne kha chuka hu chacha ke saath wo rasta banana aur tha bandhe haatho se logo ko hatana aur hai Bhare darbaar mein muslim ka aana aur tha mera phupiyo'n ko apne saath laana aur hai..(2) 9. Sahaab asghar ki turbat sheh ne hatho'n se banayi raza, abid ne kaise behen ki mayyat uthayi khule hatho'n se turbat ka banana aur tha bandhe hatho'n se mayyat ka uthana aur hai Bhare darbaar mein muslim ka aana aur tha mera phupiyo'n ko apne saath laana aur hai..(2)