لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Hai apni sakina ka abbas ko ghum maula

Syed Raza Abbas Zaidi2020
ShiaNohaLyrics
Sar ghazi ka jab shaah ne seene se lagaya sheh rag se sada aane lagi, haaye sakina farmate the abbas mai, sharminda hu aaqa pani mai sakina ke liye, laa nahi paaya Hai apni sakina ka, abbas ko ghum maula pyaasi rahi shahzadi, aur marte hai hum maula 1. Tashreef jo laaye hai, tazeem ko uth jaata sar apna jhuka kar mai, aadab baja laata uthne se bhi qasir hu, haye..(2) baazu hai qalam maula pyaasi rahi shahzadi, aur marte hai hum maula Hai apni sakina ka, abbas ko ghum maula pyaasi rahi shahzadi, aur marte hai hum maula 2. Khatoon e jina ne yu, girne se bachaya hai rahwaar se bibi ne khud mujhko utaara hai hai khaak pe bibi ke, haye..(2) ye naqsh e qadam maula pyaasi rahi shahzadi, aur marte hai hum maula Hai apni sakina ka, abbas ko ghum maula pyaasi rahi shahzadi, aur marte hai hum maula 3. Aati hai sada koi badhti hai pareshani jaise ke koi bachhi kehti ho chacha paani hai maut se badh kar ye, haye..(2) Zehra ki qasam maula pyaasi rahi shahzadi, aur marte hai hum maula Hai apni sakina ka, abbas ko ghum maula pyaasi rahi shahzadi, aur marte hai hum maula 4. Chhinte hue bibi ke dikhte hai gauhar mujhko roti hui aati hai masooma nazar mujhko kis tarha se jhelegi, haye..(2) wo ranjo alam maula pyaasi rahi shahzadi, aur marte hai hum maula Hai apni sakina ka, abbas ko ghum maula pyaasi rahi shahzadi, aur marte hai hum maula 5. Maqtal mein padha rehne dijiyega mera laasha abbas ki ghairat ko bardaasht nahi hoga mayyat pe meri roye, haye..(2) ab ehle haram maula pyaasi rahi shahzadi, aur marte hai hum maula Hai apni sakina ka, abbas ko ghum maula pyaasi rahi shahzadi, aur marte hai hum maula 6. Jaate hue hasrat hai ye aapke khadim ko bus saaniye zahra ke khaime ki ziyarat ho rukh pher de us jaanib, haye..(2) ab waqt hai kam maula pyaasi rahi shahzadi, aur marte hai hum maula Hai apni sakina ka, abbas ko ghum maula pyaasi rahi shahzadi, aur marte hai hum maula 7. Reti pe tera khadim payro ko ragadta hai hai zakhm lage itne, khoo'n jism se behta hai ruk ruk ke nikalta hai, haye..(2) ab seene se dum maula pyaasi rahi shahzadi, aur marte hai hum maula Hai apni sakina ka, abbas ko ghum maula pyaasi rahi shahzadi, aur marte hai hum maula 8. Mai aapke chehre ko dekhu to bhala kaise ek teer se zakhmi hai, ek aankh hai tarr khoo'n se ye teer hata de to, haye..(2) hojaye karam maula pyaasi rahi shahzadi, aur marte hai hum maula Hai apni sakina ka, abbas ko ghum maula pyaasi rahi shahzadi, aur marte hai hum maula 9. Abbas ke khaime mein maula ne alam rakh ke kaati hai tanabein yu akbar ke abhi jaise dafnate hai ghazi ki, haye..(2) hasrat mein alam maula pyaasi rahi shahzadi, aur marte hai hum maula Hai apni sakina ka, abbas ko ghum maula pyaasi rahi shahzadi, aur marte hai hum maula