لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Kya kya sitam guzar gaye

Syed Raza Abbas Zaidi2020
ShiaNohaLyrics
Haye Zahra, haye Zahra..(2) Masjid se ghar mein laut ke, jab aayi sayyeda Zainab ne maa ka haal jo dekha to ye kaha Kya kya sitam guzar gaye, ek din mein aap par amma bataiye, amma bataiye Kya kya sitam guzar gaye, ek din mein aap par amma bataiye, haye amma bataiye Baalo ka rang badla hai, kyu jhuk gayi kamar amma bataiye.. Kya kya sitam guzar gaye, ek din mein aap par amma bataiye, haye amma bataiye 1. Kyu kar chupaye rakha hai kya dil mein dard hai kyu chehra zard hai, halat tumhari dekh ke lagta hai mujhko darr amma bataiye... Kya kya sitam guzar gaye, ek din mein aap par amma bataiye, haye amma bataiye 2. Bus muskurate dekha tha humne tumhe sadaa batlao kya hua, aankhein hui hai aapki, kyu aasuo'n se tarr amma bataiye... Kya kya sitam guzar gaye, ek din mein aap par amma bataiye, haye amma bataiye 3. Maine suna hai masjid mein rulwaya aapko jhutlaya aapko kya baat dil pe lag gayi, uthta nahi jo sar amma bataiye... Kya kya sitam guzar gaye, ek din mein aap par amma bataiye, haye amma bataiye 4. Dar pe hamare pehle to aate the subh o shaam karne ko sab salaam nana ke baad phera hai, ummat ne rukh kidhar amma bataiye... Kya kya sitam guzar gaye, ek din mein aap par amma bataiye, haye amma bataiye 5. Baba ka raaj hota to ye ghum na jhelti ye din na dekhti haq cheena mere baba ka, ummat ne kyu magar amma bataiye... Kya kya sitam guzar gaye, ek din mein aap par amma bataiye, haye amma bataiye 6. Kya dard hai jo aapko, har dum rulata hai dil dooba jaata hai kyu roz jaake roti hai, nana ki qabr par amma bataiye... Kya kya sitam guzar gaye, ek din mein aap par amma bataiye, haye amma bataiye 7. Ashko ki is rawani ne, zainab ko aye raza sab kuch bata diya Zehra khamosh hogayi, jab is sawaal par amma bataiye... Kya kya sitam guzar gaye, ek din mein aap par amma bataiye, haye amma bataiye Haye Zahra, haye Zahra