لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Rukh se ek baar kafan

Syed Raza Abbas Zaidi2020
ShiaNohaLyrics
Haaye hayder ke janaze pe ajab manzar tha betiyaan kadmo se lipti thi basad aaho buka badhke shabbar ne jo chechre se kafan band kiya dekhkar bhai ke chechre ko ye zainab ne kaha rukh se ek baar kafan aur hatado bhaiyya mere baba ka mujhe chehra dikhado bhaiyya Aaj baba jo mere ghar se chale jaayenge Phir mujhe shaame garibaan me nazar aayenge itne din kaise guzarungi batado bhaiyya jaise amma ki rida me thi shafa nana ki kya ye mumkin hai ke uth jaaye mere baba bhi meri chadar mere baba ko udhado bhaiyya khoon baba ki jabeen se wo gira tha jis pe apne baba ki nishani mai banalungi use mere baba ka musalla muje laado bhaiyya kaise batlaun ye dil gham se phata jata hai kya juda baap se hokar bhi jiya jaata hai apni behno ko faqat itna batado bhaiyya haaye shabbir se zainab ne kaha ro rokar suna lagta hai amame ke bina baba ka sar sar pe baba ke amama to sajado bhaiyya Aa rahi hongi baqqaiya se sada sun ke meri sar pe baba ke na pad jaaye nazar amma ki zakhm amma ki nigahon se chhupado bhaiyya Gham me baba ke tadapta hai zara dekho to dur baytha hai bula laao mere ghazi ko paas kuch der to baba ke bithado bhaiyya Ghar se jata tha janaza jo Ali ka bahar Betiyan kehti thi zeeshano raza ro rokar Aakhri baar to baba se milado bhaiyya