لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Athara baras in hatho'n se pala hai

Syed Raza Abbas Zaidi2021
ShiaNohaLyrics
Haye akbar.. Haye zainab..(2) Marne ki ijazat jab maangi akbar ne to yeh sarwar ne kaha zainab se ijazat lo beta tum par hai ziyada haq uska khaime mein phuphi amma ke jab athhara baras wala pohcha maangi jo ijazat akbar ne zainab ne pukara aye beta Atthara baras tumko in haatho'n se paala hai Atthara baras tumko in haatho'n se paala hai..(2) Mai kaise kahu akbar.. Mai kaise kahu akbar, marne ke liye jao Atthara baras tumko in haatho'n se paala hai 1. Akbar tujhe dekhu to chalti hai meri saa'nse kis tarha se tujhe zakhmi dekhengi meri aankhein dekhengi meri aankhein Mere gul badan, mere naujawa'n kaleje mein jab, lagegi sina meri jaan tum, na seh paoge tumhe kis tarha sambhalegi maa maloom hai zainab ko, nazuk tera seena hai Mai kaise kahu akbar.. Mai kaise kahu akbar, marne ke liye jao Atthara baras tumko in haatho'n se paala hai 2. Ek baar zara apne baba ki taraf dekho kis tarha uthaenge woh tere janaze ko woh tere janaze ko ajab haal hai, kamar mein hai khum hai abbas ki, judayi ka ghum ghareeb ul watan, bohot thak chuka zaeefi bhi hai, nazar bhi hai kam aye laal mera bhai seh roz ka pyaasa hai Mai kaise kahu akbar.. Mai kaise kahu akbar, marne ke liye jao Atthara baras tumko in haatho'n se paala hai 3. Mai paalne wali hu itna to mera haq hai socha tha ke ek din mai jab jaungi duniya se jab jaungi duniya se lahad mein mujhe, utarega tu ye armaan hai, yehi aarzu rahe tu sadaa, mere saamne ruke saans bhi, tere ru baru aye laal abhi mera armaan adhura hai Mai kaise kahu akbar.. Mai kaise kahu akbar, marne ke liye jao Atthara baras tumko in haatho'n se paala hai 4. Jab pehle pehel tujhko haatho pe uthaya tha yeh kehte hue maine seene se lagaya tha seene se lagaya tha meri zindagi, mere laadle kisi ki tujhe, nazar na lage tujhe dekhne ko, bechayn thi sukoo'n mil gaya, tujhe dekh ke tu aankho'n ka taara hai tu raaj dulara hai Mai kaise kahu akbar.. Mai kaise kahu akbar, marne ke liye jao Atthara baras tumko in haatho'n se paala hai 5. Sughra se kiya waada kya yaad nahi akbar beemar madine mein mar jaye na ro ro kar mar jaye na ro ro kar use aas hai, ke aoge tum jo waada kiya, nibhaoge tum sakina se woh, bohot door hai bahan se use, milaoge tum beta tumhe sughra se woh waada nibhana hai Mai kaise kahu akbar.. Mai kaise kahu akbar, marne ke liye jao Atthara baras tumko in haatho'n se paala hai 6. Akbar teri shadi ka armaa'n hai bohot humko hum seh nahi payenge aye laal tere ghum ko aye laal tere ghum ko jabee'n par teri, jo sehra bandhe tamanna hai woh, phuphi dekhle dulhan ko teri, sajaungi mai aye mere hasee'n, jawa'n laadle zainab ne abhi tujhko dulha bhi banana hai Mai kaise kahu akbar.. Mai kaise kahu akbar, marne ke liye jao Atthara baras tumko in haatho'n se paala hai 7. Yeh kehne lage akbar zainab ki sadaa sunke afzal to nahi amma mai dilbar e zahra se mai dilbar e zahra se akele hai wo, nahi hai koi musibat mein hai, zarurat meri nazar kis tarha, milaunga mai agar aap ne, ijazat na di kyu aapke hoto'n pe is waqt yeh nauha hai Mai kaise kahu akbar.. Mai kaise kahu akbar, marne ke liye jao Atthara baras tumko in haatho'n se paala hai 8. Akbar ki sadaa sunkar zainab ne ijazat di rukhsat jo hue akbar kaisi woh qayamat thi kaisi woh qayamat thi duaein khuda, se karti thi woh mere laal ki, khuda khayr ho kaha Ya Ali, madad kijiye mai rukhsat karu, jawa'n laal ko zeeshan o raza phir na zainab ne pukara hai Mai kaise kahu akbar.. Mai kaise kahu akbar, marne ke liye jao Atthara baras tumko in haatho'n se paala hai