لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Ghareeb ka yeh ghareeb sar hai

Syed Raza Abbas Zaidi2021
ShiaNohaLyrics
Kabhi ye shiree'n ke ghar mila hai kabhi ye rahib ke ghar gaya hai kabhi shajar pe rasan se baandha kabhi ye sandooq mein rakha hai na jaane iska safar hai kaisa nahi hai mazloom koi aisa ghareeb ka ye ghareeb sar hai jo dar ba dar hai.. ghareeb ka ye ghareeb sar hai jo dar ba dar hai.. 1. Hai reesh jiski lahu mein doobi ragein bhi sukhi hui hai jiski bhari hai zulfo mein khaak haaye kate hai lab aur jabee'n hai zakhmi ayaa'n hai chehre se ghum bala ke ho jaise maara rula rula ke ghareeb ka ye ghareeb sar hai jo dar ba dar hai.. 2. Chala tha jis waqt ispe khanjar tha god mein fatima ki yeh sar khadi thi sattar(70) qadam pe zainab gira ye sar jab zamee'n pe kat kar uthaya zulfo'n se shimr ne sar tapak raha tha lahoo zamee'n par ghareeb ka ye ghareeb sar hai jo dar ba dar hai.. 3. Sawaar nok e sina pe ho kar chala hai karbobala se yeh sar nazar hai akbar ki sar ki janib ajeeb ghurbat ka hai yeh manzar kare ye akbar se jab bhi baatein to khoon roti hai iski aankhein ghareeb ka ye ghareeb sar hai jo dar ba dar hai.. 4. Nazar pade jab behen ke sar par pukare abbas ko tadap kar tamache jab bhi sakina khaye zamee'n pe gir jaye haaye ye sar koi jo abid pe zulm dhaye pukare naize se haaye haaye ghareeb ka ye ghareeb sar hai jo dar ba dar hai.. 5. Giri thi naaqe se jab sakina wahi'n ye sar bhi theher gaya tha nazar na aayi jab isko beti tadap ke zainab ki simt dekha kaha ye zainab ne jald jao meri sakina ko dhundh lao ghareeb ka ye ghareeb sar hai jo dar ba dar hai.. 6. Ye sar jo khuli ke haath aaya ajeeb zalim ne zulm dhaya ghar uske zahra tadap ke pohchi jab usne tandoor mein chupaya kiye jo Zahra ne bayn ro kar tadap raha tha Hussain ka sar ghareeb ka ye ghareeb sar hai jo dar ba dar hai.. 7. Sitam ye darbaar mein hua tha ghareeb sar tasht mein rakha tha yazeed dandaan e shahe dee'n par chhadi ko has has ke maarta tha sakina abid ko dekhti thi pidar ki ghurbat pe ro rahi thi ghareeb ka ye ghareeb sar hai jo dar ba dar hai.. 8. Hai shaam ki qaid ka yeh manzar mila sakina ko baap ka sar raza o zeeshan thi qayamat kaha sakina ne jab lipat kar naseeb ko hogaya hamara hai seene pe sar tumhara ghareeb ka ye ghareeb sar hai jo dar ba dar hai..