لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Tadfeen shahzadi sakina

Syed Raza Abbas Zaidi2021
ShiaNohaLyrics
Haye.. Haaye Bayaan karta hu zindaa'n mein kya qayamat thi ghareeb baba se jis dum ghareeb beti mili wo apne baba ke sar se lipat ke rone lagi tadap ke li jo sakina ne akhri hichki kaleja phat-ta hai kaise sunau wo manzar rakhe the beti ne rukhsar baap ke muh par Andheri qaid mein phir kya hua suno aage behen ko dekha jo baba ke sar se lipte hue tadap ke baali sakina ke paas aa pohche jo nabz dekhi to sajjad ne kaha roke utha rahi thi jo ghum wo thak gayi ghum se phuphi humari sakina bichhad gayhi hum se Laraz raha tha wo zindaan aah o girya se ye bole abid e muztar ghareeb e zahra se chhudau kaise? chhudau kaise mai sar aapka sakina se? mili hai kitne dino baad apne baba se bohot ghareeb hu ye ghum utha na paunga bahan ki god se mai sar chhuda na paunga Sar e hussain chhudaya jo Ya Ali keh kar kaha sakina se tum par salam aye khwahar na jaane kitne hai ehsaan aapke mujhpar ye bhai kaise utarega qabr ke andar ye dekho jakda hai zanjeer mein humara badan tumhara laasha na bhai se uth sakega bahan Sitamgaro ne jo karbobala mein bandhi thi gale mein hogayi paywast haye wo rassi chhini thi baliya'n, hai kaan aaj bhi zakhmi sitam ki hadd ye hui aap margayi pyaasi ayaa'n hai chehre pa ab tak nishaa'n tamacho ke chupau kaise bhala mai ye neel gaalo ke Woh raahe shaam woh ghurbat bhulau mai kaise? ek aisa mod tha ghazi ka sar tha naize pe jab unke saamne laakar pakad ke baalo se tamache maare the zalim ne tumko has has ke laeen kehta tha abbas ab na aayega nahi hai koi jo durro se ab bachaega Pukari laashe sakina pe zainab e muztar ye karbala mein qayamat guzar gayi tumpar phuphi ke saath khadi dekhti rahi manzar chalaya bhai ke sukhe gale pe jab khanjar kaha ye bhai ne, do mera saath aye zainab rakho sakina ki ankho'n pe haath aye zainab Phuphi bhatije se kehti thi mat karo faryaad tumhara saath mai deti hu sayyed e sajjad padi hai hum pe qayamat se bhi badi uftaad tumhari tarha mere haath bhi nahi azaad hai ab ye shaam ka zindaan hi watan iska yehi jala hua kurta hai, ab kafan iska Kaha ye saniye zahra ne bibiyo aao janaza bali sakina ka saath uthwao jo apne baba ko roti thi usko dafnao nahi hai pani to turbat pe ashk barsao wo raat aayi thi zeeshan aur raza kaisi lahad mein so gayi beti ghareeb e zahra ki..(2)