لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Ghareeb e zahra ka badan

Syed Raza Abbas Zaidi2022
ShiaNohaLyrics
Hussain.. Hussain.. Hussain Kiya hai paamal isko ran mein hai zakhm hi zakhm is badan mein nahi hai koi uthane wala bohot akela hai is watan mein idhar ki sab pasliya'n udhar hai..(2) udhar ki sab pasliya'n idhar hai Jo garm reti pe be-kafan hai ghareeb e zahra ka ye badan hai Ye wo badan hai ke jiska seena haan chumte the shah e madina bhara hai teero se haye ghurbat kaha pe soyegi ab sakina yehi woh seena hai jispe chadh kar..(2) laee'n ne kaata hussain ka sar Jo garm reti pe be-kafan hai ghareeb e zahra ka ye badan hai Hui thi woh jinki naal bandi the aam ghodo'n se aur wazni jo ghode daude the is badan par kuchalna unki khususiyat thi na jaane kis tarha maa ne dekha..(2) sumo ke niche ghareeb beta Jo garm reti pe be-kafan hai ghareeb e zahra ka ye badan hai Laee'n wo bajdal(l.a), tha naam jiska sirhane jab is badan ke pohcha anguthi kis tarha loot ta woh tha zakhmi hatho'n pe warm itna na utri zalim se jab anguthi..(2) to kaat kar le gaya wo ungli Jo garm reti pe be-kafan hai ghareeb e zahra ka ye badan hai Akela lakho'n se zakhm kha kar ye sogaya jab sitam utha kar andhere ban mein isi badan se behen ne patthar hataye aakar na jaane zainab ne kaise dekha..(2) ghareeb bhai ka zakhmi laasha Jo garm reti pe be-kafan hai ghareeb e zahra ka ye badan hai Saro ko naizo pe jab chadhaya sar ek chota sa mil na paaya laee'n ne naiza zamee'n pe maara toh laasha asghar ka saath aaya pidar ke zakhmi badan pe rakh kar..(2) chalaya nanhe gale pe khanjar Jo garm reti pe be-kafan hai ghareeb e zahra ka ye badan hai Pidar ke seene pe sone wali jab is badan ke qareeb pohchi ye aake shimr e laee'n ne dekha pidar se lipti hui hai beta pakad ke baalo'n se jab chhudaya..(2) badan zamee'n par tadap raha tha Jo garm reti pe be-kafan hai ghareeb e zahra ka ye badan hai Hussain ki jab lahad pe jana raza o zeeshan yaad rakhna bichi hai turbat mein ek chatayi ye dil ki aankho'n se dekh lena wahi yeh zakhmi badan rakha hai..(2) sagheer seene pe so raha hai