لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Sakina bibi ka hai janaza

Syed Raza Abbas Zaidi2022
ShiaNohaLyrics
Wo shaam ka zindaan, wo ghurbat wo andhera kurte ka kafan aur, sakina ka janaza sajjad se jab laasha, bahan ka nahi uttha laashe pe rabab aake, ye karne lagi nauha aye bibiyo tum meri, madad karne ko aao haye mazloom sakina ke, janaze ko uthao sakina bibi, haye sakina bibi ka hai janaza uthao zainab, uthao fizza sakina bibi ka hai janaza uthao zainab, uthao fizza Ye rone wali ka hai janaza uthao zainab, uthao fizza sakina bibi ka hai janaza uthao zainab, uthao fizza 1. Hai haath ab bhi rasan mein iske hum hi hai ab is watan mein iske na jaane kab se ye tashna lab hai nami nahi hai badan mein iske yeh meri pyaasi, haye yeh meri pyaasi ka hai janaza uthao zainab, uthao fizza sakina bibi ka hai janaza uthao zainab, uthao fizza 2. Yateem, bekas, ghareeb, dukhiya thi kitni mazloom o be sahara chacha ke sar ke qareeb lakar pakad ke baalo se jisko maara yeh us bhatiji, haye yeh us bhatiji ka hai janaza uthao zainab, uthao fizza sakina bibi ka hai janaza uthao zainab, uthao fizza 3. Wo jiski sukhi hui rago par chala tha karbobala mein khanjar bhara tha teero se uska seena hai jisko maara rula rula kar yeh uski beti, haye yeh uski beti ka hai janaza uthao zainab, uthao fizza sakina bibi ka hai janaza uthao zainab, uthao fizza 4. Jala hai kurta, hai kaan zakhmi gale mein paywast hai rasan bhi kahi pe khaya tha taziyana kahi ye naaqe se gir gayi thi ye ghum ki maari, haye ye ghum ki maari ka hai janaza uthao zainab, uthao fizza sakina bibi ka hai janaza uthao zainab, uthao fizza 5. Mila jo paani to isne lakar giraya abid ki bediyo par kahi se chadar mili to pehle hume udhayi hai isne aakar ye sab ki pyaari, haye ye sab ki pyaari ka hai janaza uthao zainab, uthao fizza sakina bibi ka hai janaza uthao zainab, uthao fizza 6. Hai iske baalo mein bhi safedi kamar bhi kham ho chuki hai iski ise bhi darbaar jab bulaya pakad ke deewar ye chali thi batool jaisi, haye batool jaisi ka hai janaza uthao zainab, uthao fizza sakina bibi ka hai janaza uthao zainab, uthao fizza 7. Mai iski halat batau kaise ab aur ghurbat sunau kaise tumhe khabar hai mai iski maa hu madad karo mai uthau kaise ye meri bacchi, haye ye meri bacchi ka hai janaza uthao zainab, uthao fizza sakina bibi ka hai janaza uthao zainab, uthao fizza 8. Jise rehayi ki aarzu thi wo ab hamesha rahegi qaidi madine wale bhi ro diye jab raza o zeeshan maa pukari ye shaam wali, haye ye shaam wali ka hai janaza uthao zainab, uthao fizza sakina bibi ka hai janaza uthao zainab, uthao fizza