لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Ek yateema aisi bhi thi

Syed Raza Abbas Zaidi2023
ShiaNohaLyrics
Raah mein naaqe se jab gir gayi, chhoti Zahra god mein ek zaeefa ne use thaam liya sar pe jab haath rakha, roke sakina ne kaha jab se baba se mai bichdi hu, bohot maara gaya mere gaalo pe tamacho ke nisha'n hai bibi tumne dekhi hai mere jaisi yatima koi? baat jab yeh suni, woh bhi rone lagi phir zaeefa sakina se kehne lagi Tumse pehle ek yateema aise bhi thi..(2) 1. Haan tumhare watan mein hi rehti thi woh badshah e madina ki beti thi woh baap ke baad itne masaeb pade apne ghar mein sahare se chalti thi woh ghum uthati rahi, kham kamar ho gayi naujawani mein hi jo zaeefa hui Tumse pehle ek yateema aise bhi thi..(2) 2. Zalimo ne yu baba ka pursa diya jalta darwaza uspe giraya gaya darr ke niche thi woh darr hata na saki haath bhi jal gaye, pehlu zakhmi hua log chal kar yaha'n se gaye jab waha'n paao'n rakh rakhke  todi gayi pasliya'n Tumse pehle ek yateema aise bhi thi Wo zaeefa kahani sunati rahi aur masoom aasu bahati rahi 3. Gaal neele hai jaise tumhare abhi uske galo ki rangat bhi aisi hi thi saamne usko beto ke maara gaya waqt yeh na kisi maa pe aaye kabhi shahzadi suno, kitni bebas thi woh ghar mein baccho se chehra chupati thi jo Tumse pehle ek yateema aise bhi thi..(2) 4. Jis tarha tere kaano se hai khoo'n rawa'n kaan uske bhi zakhmi the aye meri jaa'n itni shiddat se zalim ne maara use toot kar khaak pe gir gayi baliya'n beti bin baap ki, dard seh na saki haath kaano pe rakh kar woh roti rahi Tumse pehle ek yateema aise bhi thi Wo zaeefa kahani sunati rahi aur masoom aasu bahati rahi 5. Pani uth uthke jisko pilati thi woh loriya'n deke jisko sulati thi jo haath chadar mein usse chupane lagi haath phaila ke jisko bulati thi woh kaise kehti woh maa, mere dil, meri jaa'n taziyano se zakhmi hai sab ungliya'n Tumse pehle ek yateema aise bhi thi..(2) 6. Uska marna bhi sabse chupaya gaya chauda(14) logo mein ghar se janaza utha uski chalees(40) qabrein banayi gayi bus yeh sunte hi bacchi ne rokar kaha aye zaeefa suno, meri dadi thi woh mujhko batao ke tum kaun ho? Haye, haaye haye zahra haye, haaye haye zahra 7. Haath pehlu se apne uthate hue zakhmi chehre se parda hatate hue aye Raza aur Zeeshan rone lagi ye Sakina ko Zehra batate hue mera wirsa ho tum, mera chehra ho tum ab samajh aaya kyu choti Zahra ho tum Haye, haaye haye zahra haye, haaye haye zahra