لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Kya baap se is tarha juda hote hai akbar

Syed Raza Abbas Zaidi2023
ShiaNohaLyrics
Haye ali akbar.. Haye ali akbar.. (2) Maqtal ki zamee'n aur qayamat ka wo manzar the god mein shabbir ki zakhmi ali akbar bete ki taraf dekhke jab Ya Ali kehkar ek haath rakha seene pe, ek haath sina par seene se sina khaich ke kehne lage sarwar kya baap se is tarha juda hote hai akbar meri jaan akbar, tu yaad bohot aaega haye, mere laal akbar, ek baar pukaro baba 1. Kya tumse kahu kis tarha pohcha hu sirhane mai ghutniyo chal kar tumhe aaya hu uthane aankhein na karo band, meri jaan chalo ghar kya baap se is tarha juda hote hai akbar meri jaan akbar, tu yaad bohot aaega haye, mere laal akbar, ek baar pukaro baba 2. Takleef hai seene mein ye ehsaas hai humko mehsoos karo tum bhi to is baap ke ghum ko mar jaunga yu ediya'n ragdo na zamee'n par kya baap se is tarha juda hote hai akbar meri jaan akbar, tu yaad bohot aaega haye, mere laal akbar, ek baar pukaro baba 3. Is haal mein gar saamne beta tera hota zakhmo ki taraf dekhke kya tu nahi rota do hausla seene se lagalo mujhe uthkar kya baap se is tarha juda hote hai akbar meri jaan akbar, tu yaad bohot aaega haye, mere laal akbar, ek baar pukaro baba 4. Chehre pe naqab is liye rehta tha tumhare Allah nazar na lage, akbar ko humare phir kiski nazar kha gayi hum shakl e payambar kya baap se is tarha juda hote hai akbar meri jaan akbar, tu yaad bohot aaega haye, mere laal akbar, ek baar pukaro baba 5. Kyu baap ki aghosh mein dum tod rahe ho ghurbat mein akela hume tum chhod rahe ho kyu hichkiya'n lete ho mere saamne dilbar kya baap se is tarha juda hote hai akbar meri jaan akbar, tu yaad bohot aaega haye, mere laal akbar, ek baar pukaro baba 6. Zalim ne sina maarke jab zee'n se giraya haatho'n se jigar thaam ke tu khaak pe aaya chehre pe tere khoon hai, zakhmi hai tera sar kya baap se is tarha juda hote hai akbar meri jaan akbar, tu yaad bohot aaega haye, mere laal akbar, ek baar pukaro baba 7. Kuch der mein le aayega qasid khat e sughra hum se na padha jaega tum bhi na tadapna jis waqt pukarunga mai, khat seene pe rakh kar kya baap se is tarha juda hote hai akbar meri jaan akbar, tu yaad bohot aaega haye, mere laal akbar, ek baar pukaro baba 8. Akbar ne jab aghosh mein li aakhri hichki zeeshan o raza khaime se zainab ne sadaa di marjaenge shabbir teri laash utha kar kya baap se is tarha juda hote hai akbar meri jaan akbar, tu yaad bohot aaega haye, mere laal akbar, ek baar pukaro baba