لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Shadat e shehzada ali asghar

Syed Raza Abbas Zaidi2023
ShiaNohaLyrics
Shah jab lasha e besheer ko haatho pe liye haye maidaan se khaimo ki taraf jane lage raah mein saath qadam aage badhe piche hate apne zaanu pe phir asghar ka janaza rakhke kaise shabbir ne dil apna sambhala hoga teer jab gardan e asghar se nikala hoga Khaich kar teer phir ek baar shahe deen chale laash uthaye hue jab khaime ke darr par pohche parda khaime ka hatate hue kuch der ruke yaad jab aayi sakina to yeh kehkar palte ghum se marjaegi jab saamne aayegi bahan bhai ka zakhmi gala dekh na payegi bahan Aagaye laasha liye khaimo ke piche shahe dee'n bole asghar ki taraf dekh kar aye mere hasee'n kaash ke hum bhi tere saath hi mar jate wahi'n haye itna to tujhe teer ne bhi maara nahi'n ran mein maara hai tujhe garm hawa ne jitna muh khula tha pyaasa tha na jaane kitna Shiddat e dhoop wo, sehra ki tapish loo ki chubhan qabr talwar se jab khod chuke shah e zaman roke kehne lage, phaila ke abaa ka daman kaha'n ye jalti zamee'n aur kaha'n nazuk sa badan kabhi chooma kabhi seene se lagaya laasha baap ne qabr mein rakh rakh ke uthaya laasha Ya Ali kehke jo phir qabr mein laasha rakha maa na aajaye kai baar ye uth kar dekha paon ki simt se tadfeen ka aghaz kiya tan chupate hue jab hath gale tak pohcha bosa besheer ki gardan ka badi der liya khaak mein chehra chupate hue muh pher liya Sar chadhaye gaye jab naizo pe ek sar na mila khaak mein naiza gadhate hue zalim nikla dhundhte dhundhte wo khaimo ke piche pohcha maar kar naiza jo khaicha to badan saath aaya run mein jab umme rabab aaye yeh manzar dekha apne bachhe ka badan nok e sina par dekha Haye zeeshan O raza zulm yaha'n bhi na ruka jab tadapte hue besheer ke maa ko dekha usne naize se banda khaich ke matti pe rakha saamne maa ke gala kaat diya asghar ka ye la'ee jaane, ye maa jaane, ya jaane asghar naiza us sar mein piroya tha, ya phir naize mein sar..