لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Utha nahi jata amma

Syed Raza Abbas Zaidi2023
ShiaNohaLyrics
Jis dum hussain zeen se aaye zameen par aankho mein khaak aur badan tha lahoo mein tarr arey jab sar utha ke dekha to dhundhla gayi nazar dekha koi zaeefa chali aati hai idhar amma ki khushbu aayi to uthne lage hussain tazeem jab na ho saki, kehne lage hussain Amma... Amma.. Zakhm itne hai ke uttha nahi jaata amma Zakhm itne hai ke uttha nahi jaata amma Milke nau laakh ne.. Milke nau laakh ne itna mujhe maara amma Zakhm itne hai ke uttha nahi jaata amma 1. Isse pehle ki meri beti yeh dekhe aake shimr se keh do utar jaye mere seene se dekho soti hai yaha'n dekho soti hai yaha'n, meri sakina amma Zakhm itne hai ke uttha nahi jaata amma 2. Haye pardes mein yeh waqt hai kaisa hum par dekho tum pani pilati thi jise uth uthkar aaj aghosh mein aaj aghosh mein, mar jaega pyaasa amma Zakhm itne hai ke uttha nahi jaata amma 3. Maine dekha hai use chehre ke bal girte hue kat chuke haath mera bhai uthega kaise deke aawaz use deke aawaz use, tum na bulana amma Zakhm itne hai ke uttha nahi jaata amma 4. Gurz talwar o tabar, naiza o bhala maara jisko kuch bhi na mila usne tamacha maara mujhpe barsa diya mujhpe barsa diya, jo haath mein aaya amma Zakhm itne hai ke uttha nahi jaata amma 5. Usne dekha hai abhi sirf mera zakhmi badan lad khadate hui girti hai sambhalti hai bahan kaise dekhegi bahan kaise dekhegi bahan, bhai ka marna amma Zakhm itne hai ke uttha nahi jaata amma 6. Haye shabbir ne yeh maa se kaha ro ro kar chalne wala hai meri sukhi rago'n par khanjar meri gardan pe abhi meri gardan pe abhi, haath na rakhna amma Zakhm itne hai ke uttha nahi jaata amma 7. Itne armaan mere dil mein hi dum tod gaye dekho tanha ali akbar bhi hume chhod gaye chidd gaya barchi se chidd gaya barchi se, akbar ka kaleja amma Zakhm itne hai ke uttha nahi jaata amma 8. Akhri waar hua kat gaya shabbir ka sar maa tadapti rahi zeeshan o raza ro ro kar gunjta reh gaya gunjta reh gaya, maqtal mein ye nauha amma Zakhm itne hai ke uttha nahi jaata amma