لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Madad kare ya Fatima (s.a)

Syed Raza Abbas Zaidi2024
ShiaNohaLyrics
madad karen madad karen Ali ke haq ka vaastaa hai bibi Fatima (s.a) kisay sunaein haal-e dil hamara kon hai yahan bas aapka hai aasra Kareem karbalaa ki maa Chhuda lo gham se ab hamein tumhara naam Fatima (s.a) he hai bibi Fatima (s.a) dar-e Hussain dekhlu bohat udaas hai nazar Najaf se karbalaa hamein bulale arbaeen par labon pay ya hussain hai hamaray dil mein karbalaa hai bibi Fatima (s.a) hai jab se qaid me pisar adhoora lag raha hai ghar is intezaar mein hai maa kab aayega mera pasar rihayi ki khabar miley aseer jo bhi be khata hai bibi Fatima (s.a) ae sayeda hai aapko Hasan Hussain ki qasam jo khaali godiyan hain ab yeh unn pay kijiye karam ataa ho waarise Azaa labon pay bas yahi dua hai bibi Fatima (s.a) mareez lailaaj ko dikhaeye yeh moujeza be haqqe Abide hazeen ataa karen ussay Shifa ae Razia ae Merzia tumharay haath mein Shifa hai bibi Fatima (s.a) Bichaunga mai kab talak safe Azaa yahan wahan mujhe woh ghar ataa karen bapaa hon majlise jahan hon ghar mein apke qadam yeh har ghareeb chahta he bibi Fatima (s.a) zahoor ho Imam ka banayen aapka haram he maatami ki arzoo bichay wahan bhi farsh-e gham shakista qabar dekhkar hamara dil tadap raha he bibi Fatima (s.a) tootay hue dilon ka bas ek aasra hain aap jisko Ali pukaarain wohi Fatima (s.a) hain aap mushkil kusha ke wastay mushkil kusha hain aap zeeshan aur Raza ke labon ki sada hain aap dil hai udaas hum hain pareshan Fatima (s.a) mushkil hamari kijiyej aasaan Fatima (s.a)