لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Nade Ali

Syed Raza Abbas Zaidi2024
ShiaNohaLyrics
Nade Ali asal mein yeh hi to he yaad e Ali wajd mein jab bhi tera naam mein laita hon Ali baithy baithy hi Najaf ghoomta rehta hon Ali dil dhadakne ki sadao mein bhi sunta hu Ali ae mere maula Ali yeh mohabbat teri raah jaisi bhi ho mujhko nahi girnay deti khaybari jung mein chaleeswa din aaya to kaha Allah ne jibrael nabi se kehdo woh jo Mazhar hai ajaaeb ka pukaro Usko jab Ali aayega sab badal jaayegaa jeet jaoge abhi jung parho mere nabi rasta neel mein Moosa ko dikha deta hai kashtie Nooh se tufaan hata deta hai aur kahin naar ko gulzaar bana deta hai hazrat e Adam se Mustafa tak sab ke kaam aaya he yahi vird jahan jisne padhi mera andaaz malangana banade Maula jo tujhe dekhle woh dana banade Maula mujhkoo Behlol sa deewana bana day Maula ishq itna he mujhe mere maula tujse mere seenay mein hai dil aur hai us dil pay likhi khoya rehta hon shab o roz teri yaado mein zindagi ban ke tu basta he meri saanson mein dil laga rehta hai har waqt teri baton mein aisa lagta he mujhe sath he tu mere teri yaado se nikalny nahi deti hai kabhi nezah Akbar ke kaleje se nikala to parhi teer be sher ki gardan se jo khincha to parhi aik gathrhi mein jo qasim ko sameta to parhi laasha jab aun o mohammad ka uthaya to parhi kat gaye haath gira ghoday se jab yaad e Ali Shah lashay pay gaye parhte hue Nade Ali algaraz Sheh ka gala Shimr ne jab kaata kuch qadam dur se ro rokay behan padti rahi pohnchain darbaar ke darwazay pay Zainab jis dam khaak pay aise giri phir nahi uth paye qadam yaad baba ki jab aayi to hui ankhen num rokay Zainab ne kaha ho kahan ae baba jab madad ke liye baba ko pukara to parhi bediyon par jo girati rahi pani lakar jo behan shaam tak aayi thi tamanche khakar qaid se jo nahi ja paayi rihayi paker uss behan ka laasha qabr mein jab rakha uss ghari sayyade Sajjad ke honton par thi jisske seenay mein he gham Zahra (s.a) ke ujrre ghar ka bas woh darwaish he zeeshan o Raza iss dar ka uss pay rehta hai karam shaam o sehar Haider ka Ya hussaina kehna gham mein rotay rehna Apne saaye mein azadaron tumhe rakhegi