لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Chala gaya Abbas (a.s)

Syed Raza Abbas Zaidi2025
ShiaNohaLyrics
Alam jo darya se aata hua dikhai diya Sakina dar pe jo pohnchein to baap ko dekha Ye ro ke bachi ne poocha kahan hain mere chacha Alam Sakina ke haathon mein deke Shah ne kaha Alam badha do Sakina, chala gaya Abbas Hussain ho gaya tanha, chala gaya Abbas Yaqeen aata nahi tha ke mar gaya Ghazi Main thapthapata raha uske gaal, aye beti Magar Hussain ki us waqt aas toot gayi Jab aa ke maa ne bataya, chala gaya Abbas Sakina paani se kis ki nazar utaarogi Tum ammu jaan kise keh ke ab pukarogi Woh yaad aayega jab Shaam tum sidharogi Nahi milega dobara, chala gaya Abbas Pohanch ke darya pe mashkiza jab bhara usne Sakina yaad teri pyaas ko rakha usne Tha uske saamne paani, nahi piya usne Tumhari tarah se pyaasa, chala gaya Abbas Kisi ne gurz jo maara to woh sambhal na saka Katte the haath, sahara woh kis tarah leta Zameen pe aise gira, zakhmi ho gaya chehra Dobara uth nahi paya, chala gaya Abbas Kahan kahan use royi hai meri tanhai Kahin badan tha, kahin haath kya ghadi aayi Bikhar gaya mera battis saal ka bhai Pada hai dasht mein laasha, chala gaya Abbas Jawan bhai ka mar jaana sakht manzil hai Main kaise zinda hoon yeh jaanta mera dil hai Magar Sakina yeh ek kaam sab se mushkil hai Teri phuphi ko batana, chala gaya Abbas Laga hai haath pe jo khoon, yeh usi ka hai Tha uski aankh mein jo teer, maine kheencha hai Woh jaanta tha mere dil mein kya tamanna hai Pukaar kar mujhe Bhaiya, chala gaya Abbas Zameen pe girne se dandan uske zakhmi the Kate the hont, badan choor choor zakhmon se Tum aise haal mein Ghazi ko dekhti kaise Jabhi to ghar nahi aaya, chala gaya Abbas Ghadi woh aayi thi Zeeshan aur Raza kaisi Kaha yeh khemon mein jab Shah ne mar gaya Ghazi Giri zameen pe ghash kha ke bibiyan saari Koi bhi sun nahi paaya, chala gaya Abbas