لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Mera akbar maar diya

Syed Raza Abbas Zaidi2025
ShiaNohaLyrics
Haay jawaan akbar jawaan kadiyal jawaan - 2 Maara gaya hai neze se beta Hussain ka Ye sunke ajab haal tha maula Hussain ka. Kabhi girte thay, kabhi uthte thay Kehte thay Hussain (a.s) yeh ro ro kar Mera Akbar (a.s) maar diya Kis tarah uthaoonga laasha haaye main apne kandhe par Mera Akbar (a.s) maar diya Bete ki judai aankhon ki beenai bhi le jaati hai Ek maa ja jaakar khaymo ki deewaron se takraati hai Jab baap sadaayen deta hai ran mein laashon se takra kar Mera Akbar (a.s) maar diya Armaan Akbar (a.s) ki shaadi ka mere dil mein hi dam tod gaya Socha tha main usko apne haathon se banaoonga dulha Yeh baap sajaayega haaye ab sehra kis ke maathe par Mera Akbar (a.s) maar diya Athara saal jise paala naazon se meri Zainab (s.a.) ne Barchhi ke baad us betay ko talwaron se maara sab ne Kis tarah kahoon ga khaymon mein jab jaoonga laasha le kar Mera Akbar (a.s) maar diya Mujhe hausla de warna beta tera Baba bhi mar jaayega Mujh se tere qatil kehte hain tera Akbar (a.s) ab na aayega Woh neiza dikha kar hanstey hain jab kehta hoon main ro ro kar Mera Akbar (a.s) maar diya Chalte chalte yeh kehte hue haathon se kamar ko thaam liya Abbas (a.s) agar tum hotay to mera Akbar (a.s) bhi zinda hota Pehle tujhe maar diya aur ab in Shaam ke logon ne mil kar Mera Akbar (a.s) maar diya Jab paas Ali Akbar (a.s) ke pohnche, zakhmi uska seena dekha Bete ne aakhri hichki li, jab toota hua neiza kheencha Shabbir (a.s) ne bas yeh kehte hue sar rakh diya zakhmi seene par Mera Akbar (a.s) maar diya Zeeshan o Raza jab beti ka khat betay ke seene pe rakha Shabbir (a.s) ke ashkon ki tarah Akbar (a.s) ka khoon tapakne laga Jis haath se barchhi khenchhi thi, us haath se likha jab khat par Mera Akbar (a.s) maar diya