لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Mere Naseeb Main Karbala

Syed Raza Abbas Zaidi2025
ShiaNohaLyrics
Bohat udaas hoon aur dil tarap raha hai mera Badi tamanna thi dekhun ga aapka Roza Main dekhta raha sab ja rahe thay aye Maula (a.s) Kyun is baras bhi nahin ja saka main Karbobala Mere naseeb mein kya Karbala nahin Maula (a.s)? - 3 Ghulam aap se ab tak mila nahin Maula (a.s) Mere naseeb mein kya Karbala nahin Maula (a.s)? - 2 Main maatami hoon, bula lein mujhe bhi Roze par Lahu bahaaya hai apne watan mein reh ke magar Haram mein aap ke pursa diya nahin Maula (a.s) Mere naseeb mein kya Karbala nahin Maula (a.s)? - 2 Main chal raha hoon julooson mein Arbaeen ke din Hai yeh bhi aap ke hi ishq ka safar lekin Najaf se Karbala paidal chala nahin Maula (a.s) Mere naseeb mein kya Karbala nahin Maula (a.s)? - 2 Chhupa rakhi hai ziarat ki aarzu mann mein Bohat ghareeb hoon kuch bhi nahin hai daaman mein Siwa tumhaare kisi se kaha nahin Maula (a.s) Mere naseeb mein kya Karbala nahin Maula (a.s)? - 2 Dikha dein mojiza ek baar Karbala aaon Ya main bhi Sughra (s.a) ki tarah watan mein mar jaaon Aur intezaar ka ab hai hausla nahin Maula (a.s) Mere naseeb mein kya Karbala nahin Maula (a.s)? - 2 Haram mein aath Muharram alam uthana hai Maqaam-e-Akbar (a.s) o Asghar (a.s) bhi mujhko jaana hai Main khaima gaah bhi ab tak gaya nahin Maula (a.s) Mere naseeb mein kya Karbala nahin Maula (a.s)? - 2 Bula lo, waasta Ghazi (a.s) ke zakhmi chehre ka Zameen pe chehre ke bal Zeen se jis tarah woh gira Kata ke haath koi bhi gira nahin Maula (a.s) Mere naseeb mein kya Karbala nahin Maula (a.s)? - 2 Yeh zaireen se maine suna hai rote hue Hussain (a.s) aap jahan teen roz pyase rahe Wahan unhein koi pyasa dikha nahin Maula (a.s) Mere naseeb mein kya Karbala nahin Maula (a.s)? - 2 Hai intezaar mein Zeeshan Abidi kab se Habib (a.s) se kahein Aashur par bula lein mujhe Raza ka naam bhi ab tak likha nahin Maula (a.s)