لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Qatl gah e Imam hussain

Syed Raza Abbas Zaidi2025
ShiaNohaLyrics
Husain walo suno yeh hai qatl gahe Hussain Tadap raha tha yehi par Ali ke dil ka chayn Isi maqam pe Zehra yeh kar rahi thi bayn Na qatl kar meri godi mein mera Noor-e-Ain Yahan talak suno kaise Hussain aaya tha Laee'n khainch ke baalo'n se usko laaya tha Tamaacha maar ke seene pe jab sawar hua Tadap ke reh gaye Shabbir, sirf itna kaha Utar ja seene se zalim, na zulm kar aisa Hai mere seene pe bas haqq meri Sakina ka Yahan pe aayi to mar jaayegi woh ro ro kar Sakina dekh na le tujhko mere seene par Haye, Kabhi badan pe woh khanjar se waar karta tha Kabhi Hussain ke zakhmo'n pe khaak daalta tha Phir apne paon se zakhmo'n ko jab masalta tha Ali ka beta wahan baar baar marta tha Ghareeb-e-Zahra jab Abbas ko pukarta tha Laeen daarhi pakad kar tamaacha maarta tha Isi maqam se sattar qadam thi door bahan Pukarti rahi, Na kaat Shimr sookha dahan Tu jaanta hai bohot door hai hamara watan Main leke aoongi uske liye kaha'n se kafan? Waha'n Hasan ko mile do kafan, mein bhooli nahi Yaha'n Hussain ki qismat mein ek kafan bhi nahi Zabaan khushk hai, zakhmi hai iski peshaani Jawaan betay ke qaatil ne maari hai barchhi Hazaaron zakhm yeh kha kar gira hai thak ke abhi Hawa hai garm, zameen tap rahi hai maqtal ki Pila de paani, Mohammad ka yeh nawasa hai Hai munh khula hua, na jaane kitna pyaasa hai Aye rone walon, yeh dil thaam kar suno manzar Chali chhuri to rakha haath maa ne ro ro kar Gala samajh ke woh karta tha waar gin ke magar Haan zakhm aate rahe Fatima ke haatho'n par Hussain kehte the, "Amma hata lo haath amma" "Gale pe chalne do khanjar, bacha lo haath amma" Tadapte reh gaye maqtal mein dono maa-bete Gale pe Shah ke zalim ne tera(13) waar kiye Bayaan haal ho Zeeshan aur Raza kaise Abhi talak to behen uth rahi thi gir gir ke Sar-e-Hussain kata dekh na saki Zainab Zameen pe aise giri jaise mar gayi Zainab Zameen pe aise giri jaise mar gayi Zainab