لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Ye kehta hua doob gaya subho ka taara

Syed Razi Haider2014
ShiaNohaLyrics
Ye kehta hua doob gaya subha ka taara aaj uth gaya duniya se gharibo ka sahara Ye kehta hua doob gaya subha ka taara 1. Afsos ke khud doob gaya apne lahu mein..(2) wo jisne ke islam ki kashti ko ubhara Ye kehta hua doob gaya subha ka taara 2. Mayyat pe hussain aur hasan ka ye bayaa'n tha..(2) baba nahi duniya mein to phir kaun hamara Ye kehta hua doob gaya subha ka taara 3. Zainab ne kaha phir mujhe ek baar dikha do..(2) Ab laut ke aaenge nahi baba dobara Ye kehta hua doob gaya subha ka taara 4. Chhayi hai udasi daro deewar haram par..(2) haye haye sare haider hua masjid mein dopara Ye kehta hua doob gaya subha ka taara Aaj uth gaya duniya se gharibo ka sahar Ye kehta hua doob gaya subha ka taara