لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Baqiyah zindaan hai

Syed ali asghar abbas nasir2016
ShiaNohaLyrics
Qabrastan peh na pehray lagtay hain Or na hi koi pabandiyaan lagti hain Na hi kabhi talay lagtay hain Na he aziyateen milti hain Han yeh sub kuch wahan hota hai Jahan zindaan ho haan zindaan ho Baqiya koi Qabrastan nahi hai Yeh toh Zindaan hai , Haan Zindaan hai Aaj bhi taziyanay ly ker kharay hain wahan Yeh Yazeedi toh Zinda hain , haan Zindaan hai Ya Nabi Ya Nabi Yeh kiya maajra hai Zahra ki lehd ko yazeedion ny ghyra hai Hain wohi pabandiyan aaj bhi Yeh toh zindaan hai , haan zindaan hai Turbat e Zahra s.a peh na rehnay diya saiya Pamaal ker diya Nabi ka kalayja Charaagh bhi na jalta hai turbat per Yeh toh Zindaan hai , haan zindaan hai Aal e Nabi ki Turbat bhi wahien hain Malika e Janat bhi wahien hain Roza e Rasool k Samnay yeh kiya hai Yeh toh zindaan hai , haan Zindaan hai Nasir mit jaien gy yeh dushman e Ahly Bait a.s Jub aien gy waris e Ahly Bait a.s Turbat phir banay ge or koi na kahay ga Yeh toh Zindaan hai , haan Zindan hai