لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Faryad Suno Meri

Tejani Brothers2009
ShiaNohaLyrics
Faryad Suno Meri (Ay mere akhi abbas ) x3 ( Faryad suno meri , ik baar mujhe bhaayi , kehkar to bula ghazi) x2 1. bachpan me tera jhula , haathon se jhulaaya tha hathon ko tere lekar , chalna bhi sikhaaya tha ab in hathon se me, kistarha uthaauga , bin baazu ye laash teri ( Faryad suno meri , ik baar mujhe bhaayi , kehkar to bula ghazi) x2 2. Aankho (n) ka diya tum ho, Khaliq ki ata tum ho Baba ne jo maangi thi , rabse wo dua tum ho Saqqaye Sakina ho, Zainab ki rida tum ho, tum hi ho kamar meri ( Faryad suno meri , ik baar mujhe bhaayi , kehkar to bula ghazi) x2 3. Teero (n) ke musalle par, sar ko mei kataawunga Kya dekh sakoge tum , mei khu ( n) mei nahawunga Zakhmi mere sine se, har khun ke qatre se, awaaz ye aayengi ( Faryad suno meri , ik baar mujhe bhaayi , kehkar to bula ghazi) x2 4. Akbar ka kaleja hai , nazro (n) mei mere bhayya Asghar ka lahu hoga , haatho ( n) mei mere bhayya May kisko pukarunga , may kisko sada dunga , batlaado mere ghazi ( Faryad suno meri , ik baar mujhe bhaayi , kehkar to bula ghazi) x2 5. Sunteho Sakina ke , lab par hai fughaa (n) bhai , Lot aao mere ammu , paani nahi mangungi Ab rut na jaawo tum , itna to zara socho , marjaayegi wo bachi ( Faryad suno meri , ik baar mujhe bhaayi , kehkar to bula ghazi) x2 6. Maut aayengi zindaa (n) mei , Masoom Sakina ko Ro ro ke sada degi , ammu mere ajaawo Jaan ( n) apni gawakar wo phir sham ke zinda (n) se, na lot ke aaegi ( Faryad suno meri , ik baar mujhe bhaayi , kehkar to bula ghazi) x2 7. Rukh karke najaf ka phir ghazi ne kaha baba Ab paas nahi baazu , may kya karu ya Zahra Maula hai akela ab , karbal me bachi hai bas, Shabbir ki tanhayi ( Faryad suno meri , ik baar mujhe bhaayi , kehkar to bula ghazi) x2 8. Sunkar ye sada sheh ki , abbas ka tan tarpa Jalti huwi reti par ghazi ka badan larza Kaese mere aaqa may , jaau (n) dare khaime par, jab paas nahi paani ( Faryad suno meri , ik baar mujhe bhaayi , kehkar to bula ghazi) x2 9. Aaqa may sue khaima , hargiz nahi jaaunga May kaise sakina ko , mu( n) apna dikhaunga Ab roze qayamat tak , Darya ke kinaare se, uthwaana na laash meri ( Faryad suno meri , ik baar mujhe bhaayi , kehkar to bula ghazi) x2 10. Karbal me Tejani thi shabbir ki ye haalat Ik baar kaho bhaayi , puri ho meri hasrat Abbas ke hoto ( n)se, ek baar sada aai , shabbir mere bhayi