لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Ya panjetan

Tejani Brothers2009
ShiaNohaLyrics
Ya panjetan Innama yureedullahu li yudhhiba ankumur-rijsa , ahlal bayti way u tahhirakum tatheera ( Ya mustafa , ya murtaza , ya zahra , ya hassanain ) x2 1. Tumhaare naam ke sadqe mei , Mile hai (n) dono jahaa (n) humko Tumhare naam ki hai ye zami ( n), mila hai tumse qura (n) humko Kiya hai rab ne karam apna , tumhaare khatir aalam par Tumhare noor ke qatro ( n) se, mila hai noor-e-jahaa (n) hamko ( Ya mustafa , ya murtaza , ya zahra , ya hassanain ) x2 2. Wo kaysa zakhm-e-judaayi tha , Nabi ke paak gharaane par Ghame firaaqe mohammed ko , kabhi na bhool sake haider Sahara Fatemah ka hai china, gale mei haider ke rassi Fidak ko chheen chheenenge zalim , jalega tera yaqeenan dar ( Ya mustafa , ya murtaza , ya zahra , ya hassanain ) x2 3. Azeem rab ki qasam khaakar , nahi hai isme koi bhi shak Ali ki tarha bahaddur to, jahaa ( n) mei koi nahi ab tak Nahi mukammal inke bina , payghaam -e-Ahmed deen-e-khuda Ali ke naam pe chalta hai , ye kayinaat ka har maslak ( Ya mustafa , ya murtaza , ya zahra , ya hassanain ) x2 4. Wo dar ko kyu (n) nahi pehchaana , jise rasul bhi bosa de, Wo dar jalaya zalim ne, jaha pe maut ijaazat le, Wo pasliyo ( n) pe giraya dar , ye kaysa waqt hai zahra par Ke ghash me binte payambar thi , wo darpe fizza sadaae de ( Ya mustafa , ya murtaza , ya zahra , ya hassanain ) x2 5. Urawo khaak azadaro , ye matami ka taqaza hai Abhi firaaqe zahra ka, jigar me zakhm bhi taza hai Jigar ke tukre waha nikle , kafan hai aapka khun me tarr Nahi hai jurm siwa iske , ye mujtaba ka janaza hai ( Ya mustafa , ya murtaza , ya zahra , ya hassanain ) x2 6. Wohi Hussain jisse ahmed , dete the gardan par bosa Wo jalti rayt pe karbal me, para hai zahra ka jaaya Gala hussein ka pyaasa hai , jo kund khanjar se hai kata , Shimar laeen tha sine par khanjar jo has ke chalata tha ( Ya mustafa , ya murtaza , ya zahra , ya hassanain ) x2 7. Ye kayse log the karbal me, khudara zulm hai ye kaysa , Jo mustafa ka tha pyaara , ussi hussein ko hai maaraa Ab imtehan hai ye logo, abhi hai shaam abhi kufa Ali ki betiya ( n) hai dar dar , hujoom ghayr ka hai saaraa ( Ya mustafa , ya murtaza , ya zahra , ya hassanain ) x2 8. Zamana dekh raha hai ab , teri duao (n) me kya dam hai , Ke do jahaan mei ay zahra , tere Hussain ka matam hai Rakhenge zinda qayamat tak , Yahi "Tejani" ka wada hai Kabhi na hoga ye gham kam , hamare sine me ye dam hai ( Ya mustafa , ya murtaza , ya zahra , ya hassanain ) x2