لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Hussain ya Hussain

Tejani Brothers2010
ShiaNohaLyrics
Hussain ya Hussain Ya laytanee kuntu maakum , Fa afooza maakum Wa la farraqallahu baynana Wa salallahu alaykum ( Hussain ya hussain ya hussain ya hussain ) x2 1. Wo tera laqab hai sheh -e- mashraqayn , tera nana jaa (n) chalta quran hai Wo madar tumhari hai khayrun-nisa , wo baba tera kulle imaan hai Hai fakhr -e- rida haaye behna teri , hassan lawh -e- mehfuz ki jaan hai ( Hussain ya hussain ya hussain ya hussain ) x2 2. Ay shabbir ke matami sun zara , tu leta hai zahra ke dil ki dua Ye khutbo ( n) mei Zainab batati rahi , zamana karega humari azaa Hai pursa ye zehra ke gham ke liye , hai zainab ki qurbani ka mojeza ( Hussain ya hussain ya hussain ya hussain ) x2 3. Hai uncha alam tere abbas ka, bicha hai tera farsh -e- gham har jaga Bahate rahenge tere naam mei , lahu ka samandar habib -e- khuda Har ik ashk mei hai likha ya Hussain , Hai pehchaan momin ka matam tera ( Hussain ya hussain ya hussain ya hussain ) x2 4. Juloosei (n) nikalte hai (n) rasto (n) mei aur , Ye duniya ko dikhlaatei (n) hai (n) tera gham Kabhi aag par ho rahi hai aza , Ye khud dekhte hai julooso ( n) mei ham, Zamana ye karta hai kohshish magar , Kabhi sar jhukaata nahi hai alam ( Hussain ya hussain ya hussain ya hussain ) x2 5. Hai afsos ke zikr -e- aal -e- nabi , bari karobaar ab jahaa (n) mei bani Wo kaise kahe khud ko zakir tera , hai payso ( n) pe jinki nigaahei (n) pari Nahi maantei ( n) aise zakir ko ham, jihei (n) kuch khabar bhi nahi shaa (n) teri ( Hussain ya hussain ya hussain ya hussain ) x2 6. Chalo sab azadaar karbobala , karenge wahaa (n) raat din ham aza Wahi ( n) sar zamee (n) pe jahaa (n) par hussain , ka be sar badan reyt par tha para Jaha par bujha sheh ka har ik diya , jaha par chhini bibiyo ( n) ki rida ( Hussain ya hussain ya hussain ya hussain ) x2 7. Kyu (n) khof -e- ajal se pareshaa (n) huwe , hai nisbat juri ab to Shabbir se Hai matam bapa aaj har aan mei , Kabhi haath se aur zanjeer se, Hai zainab ki sunnat aza -e- hussain , mila hai hamme teri hamsheer se ( Hussain ya hussain ya hussain ya hussain ) x2 8. Ye matam se milta hai hamko khuda , Ye matam hai khud sunnat -e- ambhiya Ye matam har ik marz ki hai dawa , ye matam hattata hai har ik bala Ye matam hai shaytaaniyat ki qaza , ye matam hai sab momino ( n) ki baqa ( Hussain ya hussain ya hussain ya hussain ) x2 9. Haaye kal the Zainab ke bazu bandhe , na kar paayi matam shaheedo (n) ka tab Meri shaahzadi aza -e- hussain , Tejani bapa karte hai aaj sab Ye baqi rahegi sada nasl mei , lahu mei mila hai tera naam ab ( Hussain ya hussain ya hussain ya hussain ) x2