لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Jaffare Sadiq

Tejani Brothers2010
ShiaNohaLyrics
Jaffare Sadiq Allah, Ighfirli khataee wa dhunoobee Allah, Ultufbee wastoor li ayoobee Allah, Wa taqabal miman yashfaooli Allah, Ighfirli khataee wa dhunoobee Allah, Ultufbee wastoor li ayoobee Allah, Wa taqabal miman yashfaooli ( Jaffar -e- sadiq , jaffar -e- sadiq ) x2 1. Baba tumhaare baqir , Madar hai umm-e- farwah Rehmat mei sab se kasrat , Sarkaar mei ho aala Tum shaam ki siyaahi , ko payrahan banaakar Har raat mufliso ( n) ko , haatho (n) se hai khilaya ( Jaffar -e- sadiq , jaffar -e- sadiq ) x2 2. Tumhaari aur nabi ki , ik roz hai wiladat Aur raah -e- adl -o- haq mei , thi aapki shahadat Ahmed ki ruh teri , ruh se juri huwi hai Saare malak pe waajib , hai aapki itaaat ( Jaffar -e- sadiq , jaffar -e- sadiq ) x2 3. Godi hai jinki khaali , awlaad unhe ataa kar Maqrooz momino ka, jo karz ho ada kar Hai be khata jo qaydi , dede unhe bashaarat Karte hai ham tawassul , haatho ( n) ko ab utha kar ( Jaffar -e- sadiq , jaffar -e- sadiq ) x2 4. Bechayn ye jigar hai , Ham tumse jo juda hai Yasrab ko tum bulaalo , lab pe yahi dua hai Aake kare ziyarat , aur ashk ham bahaaye Tere liye ay maula , ye dil tarap raha hai ( Jaffar -e- sadiq , jaffar -e- sadiq ) x2 5. Tumko sata raha tha , ashur ka wo manzar ik behn ne jo dekha , ik bhayi zeyr -e- khanjar Pyaara sa uska chehra , dekha tha khun mei tar Rokar wo gir pari jab, tan se juda huwa sar ( Jaffar -e- sadiq , jaffar -e- sadiq ) x2 6. Angur ka gahal jab, mansur tumko bheja Tab sakht zehr usne , angur mei tha daala Khaakar laraz raha tha , Maula badan tumhara Girya kiya uthaakar , Kazim tumhaara lasha ( Jaffar -e- sadiq , jaffar -e- sadiq ) x2 7. Baade teri shahadat , duniya mei aaj tak bhi Zahir tera asar hai , roshan khuda ke raah ki Dam se tumhaare qayam , iman jaafari ka Shiyyo ( n) ka fakhr tum ho, bole na kyu (n) Tejani ( Jaffar -e- sadiq , jaffar -e- sadiq ) x2