لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Ay Mere Aun-O-Muhammad

Tejani Brothers2011
ShiaNohaLyrics
Ay Mere Aun -O-Muhammad (Ay mere aun -o- muhammad , ay mere aun -o- muhammad ) x3 Mujhe khabar hai ke pyaase , bohot ho tum mere bte Magar tumhari nigahei ( n), na jaaye darya kinaare Tumhe pilayengi paani , maa fatemah lab-e- kausar , ay mere aun -o- muhammad (Ay mere aun -o- muhammad , ay mere aun -o- muhammad ) x2 Tumhe khabar hai ke mamu , bohot zaeef hai tere Subha se leke abhi tak , unho ( n) ne laashei (n) uthaaye Giro jo zee( n) se to kehna , faqat salaam ay dilawar , ay mere aun -o- muhammad (Ay mere aun -o- muhammad , ay mere aun -o- muhammad ) x2 Tumhare maamu ke rishte , mei jis tarha se hai dilbar Adab wafa aur muhabbat , wo aye tujh mei simat kar Ye yaad ho ke ho dono , ik doosre ke biraadar , ay mere aun -o- muhammad (Ay mere aun -o- muhammad , ay mere aun -o- muhammad ) x2 Pukaare Aun -o-Muhammad, kalaam maa ka ye sunkar Na sharm ayegi tumko , na khof kar haaye madar Ham is tarha se larenge , ke khud kahenge ye haider , ay mere aun -o- muhammad (Ay mere aun -o- muhammad , ay mere aun -o- muhammad ) x2 Lare the aisi tarha se, Kahe ye lashkar -e- kuffaar , lo agaye hai ye ran mei , ali -o- jaffer -e- tayyaar khayaam se jo ye dekhe , pukare fakhr se sarwar , ay mere aun -o- muhammad (Ay mere aun -o- muhammad , ay mere aun -o- muhammad ) x2 the teen din ke wo pyaase , lare to kitne larenge har ik taraf se tha hamla , wo gir ke reyt pa aaye gire ye dono to Zainab , rakha tha sajde me yu (n) sar , ay mere aun -o- muhammad (Ay mere aun -o- muhammad , ay mere aun -o- muhammad ) x2 Ye maa ( n) ka sabr hai aisa , ke karbala se madina Wo apne bte ke khatir , bahayi ashk kabhi na Ki apne bhayi ka girya , kabhi na boli ye madar , ay mere aun -o- muhammad (Ay mere aun -o- muhammad , ay mere aun -o- muhammad ) x2 Sambhaal payi na dil ko , Zainab jo ponchi yu ( n) ghar mei Nanne musalle ko chume , kabhi wo chume khilonei ( n) Khamosh gar mei akeli , pukari maa ( n) ye sissak kar , ay mere aun -o- muhammad (Ay mere aun -o- muhammad , ay mere aun -o- muhammad ) x2 Yu( n) sabira hai wo leykin , wo maa (n) bhi hai ay Tejani Unhe rulayegi haaye , pisar ki daagh -e- judaayi Har eik saans kahegi , har eik dam zindagi bhar , ay mere aun -o- muhammad