لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Ya Sakhi Ya Aliyyun Naqi

Tejani Brothers2011
ShiaNohaLyrics
Ya Sakhi Ya Aliyyun Naqi ( Maula sakhi , ibn -e- sakhi , Bul askari , aliyyun naqi ) x2 ( Ya sakhi ya aliyyun naqi , ya sakhi ya aliyyun naqi ) x2 Aap ki maa hai bibi sumaana khatoo ( n), aap ke baba jaa (n) hai Muhammad Taqi tumne che saal ke umr mei paayi thi , zimmedari imamat ki aur aal ki Tu hai shahzada -e-do jahaa ( n), ranj ki hai teri daastaa (n) ( Ya sakhi ya aliyyun naqi , ya sakhi ya aliyyun naqi ) x2 Tumko darbaar mei laaya zalim ne jab, mutawakkil tha bad-mast yu (n) takht par Aap koh ke ashaaro ( n) ko parhke kiya , zer baari wo zalim ka us waqt par Tere lafzo ( n) ka tha ye asar , khun roya tha bedaadgar ( Ya sakhi ya aliyyun naqi , ya sakhi ya aliyyun naqi ) x2 Mutakabbir wo zalim tha itna bara , teri azmat ko pehchaan paya nahi (n) Khud ko afzal samajh ke sitamghaar yu ( n), sheyr ke ghaar mei phenke tumko laee (n) Hai buland ye tera martaba , Tumko sheyro ( n) ne sajda kiya ( Ya sakhi ya aliyyun naqi , ya sakhi ya aliyyun naqi ) x2 Jis tarha se madine ko rukhsat kiya , Misl -e- shabbir tune bhi rukhsat kiya , Jangal -e- karbala ko chale the hussain , jangal -e- samarra tha wo manzil tera Wo huwe karbala mei qatal , samarra mei thi teri ajal ( Ya sakhi ya aliyyun naqi , ya sakhi ya aliyyun naqi ) x2 Mere shahzade sunlo ye dil ki dua , Tumko Zainab ki chadar ka hai wasta Jiske dil mei hai hajat wo maqbool kar , Asra har muhibbo ( n) ka bas hai tera Jiske dil mei hai hajat bhari , unke lab pe sada hai yahi ( Ya sakhi ya aliyyun naqi , ya sakhi ya aliyyun naqi ) x2 Sab yateemo ( n) ko saya -e- rahmat mile, har pareshaan dil ko salamat mile Zalimo ( n) ko saza aur qayamat mile, hashr mei momino (n) ko shafaat mile Aap sab hajato ( n) ke ho dar , Kyu ( n) ke hai aapka paak gar ( Ya sakhi ya aliyyun naqi , ya sakhi ya aliyyun naqi ) x2 Zehr tumko khilaya gaya ya imam, Mutawakkil ki zulmat ki thi inteha Ye asar tha ke tha tera tukre jigar , marte bhi dard se tan tha tera bhara Haaye maula ye ghurbat teri , the janaze pe bas askari ( Ya sakhi ya aliyyun naqi , ya sakhi ya aliyyun naqi ) x2 Baad -e- rehlat sukoo ( n) bhi huwa na naseeb , zalimo ( n) ne kiya munhadim samarra Ayenge jab Tejani imam-e- zamaa ( n), lenga tab badla -e- zulm wo bakhuda Leke wo ayega zulfiqaar , hogi tab sare zalim ki haar Raah par hai hamari nigaahei ( n) pari Dekhna hai zamane ko ab us ghari Ayega ghayb se jo hamare imam Lega tab samarra ka wohi inteqaam Zulfiqar uspe chaljaayegi jo bhi tha Qatil -e- asghar -o- mohsin -o- fatemah Samarra aur baqiyyah ke zalim suno Ghayb se ibn -e- zahra ik din ayega Har adu ka badaljayenga din se shaam Is tarha se chalayega apni niyaam Badla -e- shaam -o- karbal wo tab payenge Aur sajjad ke ashk tham jaayenge