لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

MERE ZAWWARO

Tejani Brothers2013
ShiaNohaLyrics
MERE ZAWWARO Mere zawwaro ( n), ake suno tum , meri kahani 1. Mere baba the khuld ke malik , jiske darpar Quran utra tha Uski poshaak ayi jannat se, unke sadqe se ye jahaan bana Mushkilein jab pari thi fitrus par, uska zamin bana mera baba Mere zawwaro ( n), ake suno tum , meri kahani 2. Meri dadi thi Fatema Zahra, asl mei jo thi ayat -e- tatheer Mera dada tha Haider -e- Karrar , hai bari jinki deen mei tauqeer Mera bhayi ka tha yahi paikar , wo tha bilkul rasool ki tasweer Mere zawwaro ( n), ake suno tum , meri kahani 3. Eik din gar se ham huwe rukhsat , raah mei ik muzahimat ayi Ponche ham karbala ke maydaa (n) mei , saathwi din se band tha pani Zalimo (n) sab jama huwe ban mei , jang ki kar rahe the tayyar Mere zawwaro ( n), ake suno tum , meri kahani 4. Nikla ashur yawm ka suraj , chamki zalim ki fauj ki talwaar Haye qasim ka tan huwe tukre , mere Akbar ka tha kaleja paar Mere Asghar ki chidgayi garden, khun ko arz ne kiya inkaar Mere zawwaro ( n), ake suno tum , meri kahani 5. Pyaas meri bujhane ko ammu , nikle mashkiza aur alam lekar Mashk ko bhar ke laut aata tha , par in ankho (n) ne dekha ye manzar Dono bazu kate baha pani , aur na aya kabhi bin-e- Haider Mere zawwaro ( n), ake suno tum , meri kahani 6. Mene Asghar ke baad ye dekha , baba maydaa (n) mei rehgaye tanha Unpe har ik taraf se tha hamla , tan to zakhmo (n) se choor choor huwa Shimr seene pe beyth ke apna , kund khanjar se kaata pyaasa gala Mere zawwaro ( n), ake suno tum , meri kahani 7. Socho kya gham guzarta tha dil mei , shimr ne jab kiya sitam mujhpar Khayme mei aake meri godi mei , phenka pyaare mere padar ka sar Khenchkar mujhko mere baalo (n) se, zor se cheena kaano (n) se gohar Mere zawwaro ( n), ake suno tum , meri kahani 8. Ham gharibo (n) pe kaisi raat ayi , jhalgaye khayme chingayi chadar Dhundti thi mei ran mei baba ko , is andhere mei haaye rorokar Eik laashe se ye sada ayi , awo soja Sakina sine par Mere zawwaro ( n), ake suno tum , meri kahani 9. Gyarwi subh ham huwe rukhsat , dhoop sar pe thi mei rasan basta Pusht par taziyanei (n) lagte the, aur kanto (n) se tha bhara rasta Haath mei leke aag ke patthar , hampe barsa rahe the sab aada Mere zawwaro ( n), ake suno tum , meri kahani 10. Mujhko darbar mei huwa maloom , kis qadar thi hamari majboori Eik be sharm o be haya zalim , ki thi khwahish meri kaneezi ki Sab nigahei (n) thi haaye abid par, par na kuch kar saka mera bhayi Mere zawwaro ( n), ake suno tum , meri kahani 11. Baad -e- darbaar ham chale zindaan , na thi chat aur na tha koi saya Din mei sar pe thi dhoop ki shiddat , Aur shab ka andhera tha thanda Mei nahi so saki thi ay logo, jabse bichra tha baap ka sina Mere zawwaro ( n), ake suno tum , meri kahani 12. Ay Tejani wohi Sakina jo , na kabhi so saki thi zindaa (n) mei Eik raat usko aisi neend ayi , usko na koi bhi jaga paayei (n) Tha jo majboor qayd mei abid , apne haatho (n) se usko dafnayei (n)