لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Haaye haaye meri dukhtar

Tejani Brothers2025
ShiaNohaLyrics
Kehti thi ye maa qabray Sakina (sa) say lipaat ker, haeay haeay meri dukhtar Bin tayray watan Jaon bhala kaise mai dilbar... Armaan tha pehlo me tujhay apnay chupati Baazo jo khulay hotay to durro(n) say bachati Dil phat ta hai dilbar, haeay haeay meri dukhtar Deikho to zara qabr pay maa aaee hai bayti Aur saath rehaee ki khabar laee hai bayti Awaz do uth ker,haeay haeay meri dukhtar Seh aaee hai pehlay hi ye Asghar(as) ki judaee Maa kaysay Juda hogi Bhala qabr say tayri Mar jaayegi madar, haeay haeay meri dukhtar Is shaam ki zulmat me Sahara nahi koee Sub ghair hein basti me humara nahi koee Chhodun tujhay kis per, haeay haeay meri dukhtar Kaano me jo pehnaeay thay baba nay tumharay Gohar wohi jo shimr nay cheenay thay tumharay Laayi houn wo gohar, haeay haeay meri dukhtar Her gaam tumhay shimray sitamgar ne hai mara Kis terha sunaongi me ahwaal ye Sara Abbas (as) ko jaa ker, haeay haeay meri dukhtar Ab apna hi ghar qabr Nazar aayega mujhko Maa keh Kay koee kis tarha behlayega mujh ko Asghar ha na Akber, haeay haeay meri dukhtar Taa umr tera sog manaon gi me bayti Ab saaye me hergiz nahi baythongi ay bayti Me jaongi jab ghar, haeay haeay meri dukhtar Ay Noor Ali jitna guzar jaeay Zamana Roeay ga Sakina (sa) ko Tejani ye gharana Her baar ye keh ker, haeay haeay meri dukhtar