لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Baba shaam aagaya

Waheed Rizvi2016
ShiaNohaLyrics
Baba.... Baba.... Hogayi berida, waqt kaisa pada, sar khula hai mera baba shaam aagaya kaun hai ab mera, aye mere baba jaa'n, mai to hu bekhata baba shaam aagaya Hogayi berida, waqt kaisa pada, sar khula hai mera baba shaam aagaya 1. Bekafan bhai ko chhod kar aagayi bhai aisa ke tha jo meri zindagi..(2) jism karbal mein hai, aur naize pe sar, bhai bhi na raha baba shaam aagaya 2. Aap ko hai khabar kitni hairaan hu kis tarha jaungi mai pareshaan hu..(2) tegh hai har taraf, aur mai nange sar, aagayi berida baba shaam aagaya 3. Kisse jaa kar bhala haal e dil mai kahu baba imdaad ko ab sadaa kisko du..(2) qatl rann mein hue, saare sher mere, jinka tha aasra baba shaam aagaya 4. Dil ki hasrat thi jo puri ho na saki haye akbar ki shadi na zainab ne ki..(2) ilteja ye suno, marr gaya naujawaa'n, dulha ban na saka baba shaam aagaya 5. Ghairat e sayyada mai hu binte ali majma e aam mein hu mai kaise khadi..(2) dekh kar berida, kyu na bhai mera, khoon roye bhala baba shaam aagaya 6. Qabr mein bhi na asghar ko sone diya baad marne ke bhi uspe thi ye jafa..(2) phatt raha hai jigar, kaata zalim ne sar, ye ghazab hogaya baba shaam aagaya