لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Apne baba ki ladli hu mai

Waheed ul Hassan2014
ShiaNohaLyrics
Haye sakina...(4) Apne baba ki ladli hu mai, mujhko pardes me rulao na..(2) Goshware mai khud utaarti hu, tum tamache mujhe lagao na Apne baba ki..(2) Haye sakina, haye sakina 1. Maar daala hai mere baba ko unke laashe ko mai sambhalungi apne nanhe se zakhmi haatho se teer unke sabhi nikalungi chhod jaao yahi sakina ko, tum aseera mujhe banao na Apne baba ki..(2) 2. Mai bahan hu sagheer asghar ki mujhko choti batool kehte hai mere kaano se khoon jaari hai dekh aasu bhi mere behte hai teen din se bohot pyaasi hu, thoda paani mujhe pilao na Apne baba ki..(2) 3. Mujhko sajjad dhoondhte honge meri phupiya'n tadap rahi hongi baith kar khaak par wo khaimo ki chupke chupke sisak rahi hongi maine apno ke paas jaana, lillah unse mujhe milao na Apne baba ki..(2) 4. Mai kali hu nabi ke gulshan ki mujhko tumne bohot sataya hai mere baba ko maar daala hai rehm tumko zara na aaya hai hogayi hu sehra mein, saath rehwaar ke daudao na Apne baba ki..(2) 5. Rehm shere khuda ki poti par tumko shimr e laee nahi aata bhook hai pyaas hai nakahat hai mujhse paidal chala nahi jata saas lene do thodi der zara, taziyane mujhe lagao na Apne baba ki..(2) 6. Mere ghazi chacha agar hote tu mujhe is tarha satata na mujhko baalo'n se yu pakadta na khoon kaano'n se yu bahata na berehem chhod mere baalo'n ko, ek yateema pe zulm dhaao na Apne baba ki..(2) 7. Haye taukeer phool si bacchi shimr e mal'oon se yu kehti thi mai wo choti batool hu zalim seena e shaah pe jo rehti thi zulm karke dukhi sakina par, dard sajjad ke badhao na Apne baba ki..(2) Haye sakina.. Haye sakina