لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Teri ummat ne mere dar ko jalaya baba

Waqas Haider2022
ShiaNohaLyrics
Baba baba... baba baba, haye baba Teri ummat ne mere darr ko jalaya baba..(2) Phir wo jalta hua darr mujh pe..(2), giraya baba Teri ummat ne mere darr ko jalaya baba..(2) 1. Baith kar padhti hu mushkil se namaz e shab bhi phir bhi abbas ki khilqat ki dua bhooli nahi jab bhi zakhmi hue hatho'n ko..(2), uthaya baba 2. Laut kar aayi to chehra bhi mera zakhmi tha meri zainab ko meri peshi ka pehla nauha mere baalo ki safedi ne..(2), sunaya baba 3. Kaunsa darr hai jaha'n aap ki beti na gayi baat sunna to kuja, yu hui izzat meri koi darwaze se bahar..(2), nahi aaya baba 4. Le chale qaidi bana kar jo Ali ko dushman maine chhoda nahi haider ki aba ka daaman taziyano ne magar mujhse..(2), chhudaya baba 5. Zakhmi halat mein bhi dehleez se bahar aayi aur aliyun waliullah bacha kar laayi ahad jo maine kiya tha wo..(2), nibhaya baba 6. Arsh aur farsh pe mohsin hua kohram bapa jis ghadi ro ke wilayat ki shahida ne kaha mujhko has has ke zamane ne..(2), rulaya baba Teri ummat ne mere darr ko jalaya baba..(2)