لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Akbar Ka Matam Hai Asghar Ka Matam Hai

Waseem Rizvi2007
ShiaNohaLyrics
Akbar ka matam hai , Asghar ka matam hai 1. Akbar ka matam hai , Asghar ka matam hai Zahra Ke Piyare Ko Rone Ka Mausam Hai Akbar ka matam hai , Asghar ka matam hai 2. Piyaase Shaheedo’n Ke Purse Ko Aaye Hai’n Aa’nkho’n Mei’n Ashko’n ke Nazrane Laaye Hai’n Har Dil Hai Gham Se Choor Har Chashm Purnam Hai Akbar ka matam hai , Asghar ka matam hai 3. Maatam Hai Har Ghar Mei’n Mazloom Sarwar Ka Jaan e Payambar Ka Zahra Ke Dilbar Ka Rote Hai’n Ehle Dil Maahe Moharram Hai Akbar ka matam hai , Asghar ka matam hai 4. Kadiyal Jawa’n Akbar Kis Tarha Tadpe The Unke Liye Sarwra Kis Tarha Tadpe The Phir Yaad Aaya Hai , Phir Aankh Purnam Hai Akbar ka matam hai , Asghar ka matam hai 5. Be Tarha Piyaso’n Ko Tadpata Hai Besheer Peete Hai’n Jab Paani Yaad Aata Hai Besheer Chhalki Sabeelo’n Par Mehshar Ka Aalam Hai Akbar ka matam hai , Asghar ka matam hai 6. Ab Behte Paani Par Pehra Nahi Lekin Akbar Ka Dil Tute Sadyaa’n Huwi’n Lekin Thamte Nahi’n Aa’nsu Who Dard e Paiham Hai Akbar ka matam hai , Asghar ka matam hai 7. Shabbir Ka Gham Hai Khatoon e Mehshar Ka Ajr e Risalat Hai Haq Hai Payambar Ka Duniya Ke Har Gham Par Ye Gham Muqaddam Hai Akbar ka matam hai , Asghar ka matam hai 8. Seena Fighaar Apna Gham Pur Wiqaar Apna Hai Sunnat e Sajjad Ab Tak Shiaar Apna Hatho’n Mei’n Zanjeere’n Kaa’ndhe Pe Parcham Hai Akbar ka matam hai , Asghar ka matam hai 9. Maloom Ka Gham Hai Jaise Lahoo Dil Mei’n Jab Tak Dhadakne Ki Hai Aarzoo Dil Mei’n Us Waqt Tak Manzoor Sarwar Ka Matam Hai Akbar ka matam hai , Asghar ka matam hai