لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Parda Gaib Se

Waseem Rizvi2007
ShiaNohaLyrics
Parda e gaib se aa rahi hai sada Zikre Shabbir ko fatwon se dabane waale Kitne naadan hai suraj ko chupaane waale Gaib se aati hai ab bhi ye sada e qaim Matam e sheh na ruke x2 Hum hai bachaane waale Parda e gaib se aa rahi hai sada Mere shiyon mein hu hujat e kibriya Daur e akhir hai hushiyaar rehna zara Dekho chute naa damaan e karbobala x2 1 Khoon rota hu mai  jadde mazloom par Tum bhi apne lahoo ko bahate raho x2 Meri akhon se rukte nahi ashke gum Phool ashkon ke tum bhi chadaate raho x2 Parda e gaib se aa rahi hai sada Mere shiyon mein hu hujat e kibriya Daur e akhir hai hushiyaar rehna zara Dekho chute naa damaan e karbobala 2 Unki paakiza aakhon ko mera salam Jinki ankhon me hai shahewala maki x2 Haa magar dushmanane aza se bacho Tumko mujse juda kar na de wo kahi x2 Parda e gaib se 3 Tum me shamil hai kuch munkirane alam Kadro keemat nahi jinko ehsaas ki x2 Dekho haato se choote na parcham kabhi Mai kasam tum ko deta hu Abbas ki x2 Parda e gaib se 4 Jinko parcham ki taadaad khalne lage Ye samajna alam se use bair hai x2 Yaa maafi talafi dikhawaa hai ye lakh apne me ho phir bhi wo gair hai x2 Parda e gaib se 5 Bech khaenge imaa azadaron ke Taajraane muharram bohot ho gae x2 Meri khawish ke har ghar se uthe alam Wo ye kehte hai parcham bohot ho gae x2 Parda e gaib se 6 Wo k jinke lahoo me hai aaloodgi Baaz aate nahi saazishi fikra se x2 Munkiraane aza tum ne socha kabhi Tum ko izzat mili hai isi zikr se x2 Parda e gaib se 7 Wo khilaf e wilayat lage bolne Khoon me jinke shaamil hai sehme imaam x2 Kal yahi nosh kare aur pale aur bade Ab tabarukh unhe lag raha hai haram x2 Parda e gaib se 8 Sunlo ey dushmanane aza e Hussain Tumko pehnaaongaa zilaton ka kafan x2 Mai muhaze aza ka alamdaar hu Hai meri fauj har maatami anjuman x2 Parda e gaib se 9 Patharon ka kaleja bhi phat jaaega Wo masahib sunaaonga dilsoz mai x2 Wo jo jukte nahi hai alam dekh kar Gardane unki naapunga ek roz mai x2 Parda e gaib se 10 Aaonga zulfikare Ali leke jab Phir ye dekhenge hai kiske fatwe me dum x2 Mere sine me hai josh Abbas ka Mere kandhe pe hoga usika alam x2 Parda e gaib se 11 Ek ek fitnagar meri nazron me hai Khaq me unke fitne milaaonga mai x2 Mere shiyon na mayoos hona kabhi Jab bhi muj ko pukaronge aaonga mai x2 Parda e gaib se 12 Kal sataya gaya jadde mazloom ko Aaaj humle hai unke azadaaron par x2 Wo rahenge amaame me hee har ghadi Ye karam hai mera sheh ke gum khaaron par x2 Parda e gaib se 13 Zindabad aisi maaon ko kehta hu mai Paalti hai jo bache wilaa ke lie x2 Apne maqsad pe rakhna hai tumko nazar Tum to paida hue ho aza ke lie x2 Parda e gaib se 14 Khoon rote hai pathar falak aur sajar Khoo nahi unme phir bhi lootaae lahu x2 Hum to aulad e Adam hai insaan hai Gum mein sheh ke na phir kyo bahae lahoo x2 Parda e gaib se 15 Dil me kitni mohabbat hai Shabbir se Uska izhar matam hai zanjeer kaa x2 Mazhabe haq pe ho karbala ke tofel Khoon ka ek ek katra hai Shabbir ka x2 Parda e gaib se 16 Kya tumhe mai bataaon Gam e shah mein Shehzadi abhi tak hai giryakuna x2 Khoon aakhon se meri na kaise bahe Meri dadi abhi tak hai giryakuna x2 Parda e gaib se 17 Jo zami par na tha zeen par bhi na tha Jism uska tha teeron pe rakha hua x2 Haa usi jadde mazloom ki yaad me Khoon akhon se meri hai behtaa hua x2 Parda e gaib se 18 Bus ye maango dua hukm de de Khuda Karbala me chadaenge apna lahu x2 Mujko aa jaane do parda e gaib se Saath milkar bahaenge apna lahu x2 Parda e gaib se 19 Wo alam ho ke taaboot ya zuljana Taziya ho amari ho ya ho sabeel x2 Sab ke sab mohataram sab ka hai ehtaraam Muftiyon ko bata do bus itna Fasil x2 Parda e gaib se