لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Wahin Hai Sare Masayeb Jahan Sakina Hai

Waseem Rizvi2007
ShiaNohaLyrics
Wahi’n Hai’n Sare Masayeb Jaha’n Sakina Hai Nigahe’n Dhoo’ndh Rahi Hain Kaha’n Sakinah Hai Paresha’n Haal Phuphi Ka Hai Bain Ay Abbas Mei’n Tum Se Puch Rahi Hoo’n Kaha’n Sakina Hai Wahi’n Hain Sare Masayeb... Ye Sin Ye Baar e Masayeb Ye Sakhtiyo’n Ke Pahad Ghazab Hai Char Baras Mei’n Kama’n Sakinah Hai Wahi’n Hain Sare Masayeb... Isi LIy eTo Sitamgar Ne Sitam Dhaye Unhe’n Khabar Hai Shahe Deen Ki Jaa’n Sakinah Hai Wahi’n Hain Sare Masayeb... Who Shehr Jis Mei’n Hukumat Thi Jis Ke Baba Ki Wahi Hai Shehr Magar Be Amaa’n Sakinah Hai Wahi’n Hain Sare Masayeb... Har Ek Aah Pe Pehra Sitam Zarifo’n Ka Zubaan Rakhte Huwe Be Zuba’an Sakinah Hai Wahi’n Hain Sare Masayeb... Ye Keh Rahi Thi Rasan Basta Bibiyo’n Se Phuphi Sambhal Ke Chalna Zara Darmiya’n Sakinah Hai Wahi’n Hain Sare Masayeb... Abhi Hai’n Baba Pe Rone Ki Hasrate’n Dil Mei’n Jaha’n Hussain Ki Majlis Waha’n Sakinah Hai Wahi’n Hain Sare Masayeb... “Faseel” Maang Le Is Chhoti Shahzadi Se Qasam Jari Ki Badi Mehrba’n Sakinah Hai Wahi’n Hain Sare Masayeb...