لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Dil Shikasta Haram

Waseem Rizvi2010
ShiaNohaLyrics
Dil shikasta haram jhel kar har sitam Qaid se chut ke phir karbala aagaye Kal ka har waqaiya yaad aane laga Ashq ankhon may be sakhta aagaye (2) Dil shikasta haram jhel kar har sitam Qaid se chut ke phir karbala aagaye (2) Haan yahin par lage the humare qayam Bait the yahan shahedeen k ghulam Aur yahin toh pade the kabhi khushk jaan Chin rahi thi ridayein yahin tha maqam Kal ka har waqaiya yaad aane laga Ashq ankhon may be sakhta aagaye Dil shikasta haram jhel kar har sitam Qaid se chut ke phir karbala aagaye Dil shikasta haram Lut gaya tha yahin sayyada ka chaman Bus yahin par tadapte the guncha dahan Laash shah e zaman thi yahin be kafan Haan yahin bazuon may bandhi thi rasan Kal ka har waqaiya yaad aane laga Ashq ankhon may be sakhta aagaye Dil shikasta haram jhel kar har sitam Qaid se chut ke phir karbala aagaye Dil shikasta haram Kuch the bache ke baad inke hoton pe dum Hum pe jis waqt chooti thi shaam e alam Raakh par jalte khaimon ki dekhe the hum Dekh kar humko haste the ahle sitam Kal ka har waqaiya yaad aane laga Ashq ankhon may be sakhta aagaye Dil shikasta haram jhel kar har sitam Qaid se chut ke phir karbala aagaye Dil shikasta haram Lag chuki thi shabi e nabi ko sina Ghum se ro ro ke behaal thi bibiyan Noke naiza pe sab padhke shah e zaman Har taraf aag si har taraf tha dhuan Kal ka har waqaiya yaad aane laga Ashq ankhon may be sakhta aagaye Dil shikasta haram jhel kar har sitam Qaid se chut ke phir karbala aagaye Dil shikasta haram Ye wahi hai kanara wahi hai furat Jiske atraaf simt thi kul kayinath Jiske maujon ne paayi thi pyaason se maar Aisa lagta hai jaise ho kal he ki baat Kal ka har waqaiya yaad aane laga Ashq ankhon may be sakhta aagaye Dil shikasta haram jhel kar har sitam Qaid se chut ke phir karbala aagaye Dil shikasta haram Kal yahin par qayamat ke aasaar the Aur hum be sahara the nachaar the Jitne wehshi darinde the badkaar the Zulm ithrath pe karne ko tayyaar the Kal ka har waqaiya yaad aane laga Ashq ankhon may be sakhta aagaye Dil shikasta haram jhel kar har sitam Qaid se chut ke phir karbala aagaye Dil shikasta haram Sher e hyder ke baazu padhe the yahin Shah sar ko jhukaye khade the yahin Saikadon teer tan may gade the yahin Qatle sheh par sitamgar adey the yahin Kal ka har waqaiya yaad aane laga Ashq ankhon may be sakhta aagaye Dil shikasta haram jhel kar har sitam Qaid se chut ke phir karbala aagaye Dil shikasta haram Tha jahan lasha e shah e duniya o deen Ab bhi rangeen hai khoon se wo zameen Uss zameen par jhukati hai duniya jabeen Ay faseel ab bhi roti hai zehra wahin Kal ka har waqaiya yaad aane laga Ashq ankhon may be sakhta aagaye Dil shikasta haram jhel kar har sitam Qaid se chut ke phir karbala aagaye Dil shikasta haram jhel kar har sitam Qaid se chut ke phir karbala aagaye Dil shikasta haram