لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Ye azadari ye azakhane

Waseem Rizvi2011
ShiaNohaLyrics
Ye Azadari ye azakhane , ye Azadar rahen qayem Jab se shabbir ke roze se mili hai(n) Aa(n)khe(n) Bas usi din se Aza khana bani(n) hai(n) Aa(n)khe(n) Ye Azadari ye Azakhane , ye Azadar rahe(n) qaeim 2 Tere shaidayee tere diwane , tere ghamkhar rahe(n) qaeim Ye Azadari ye Azakhane , ye Azadar rahe(n) qaeim 2 Ghar ko khusbu e shahe deen main basaye rakhiye Zikre shabbier ko ho(n)to(n) pe sajaye rakhiye Dil mai(n) matam ke charago(n) ko jalaye rakhiye Apni Aa(n)kho(n) ko azakhana banaye rakhiye Ham Azadaro(n) ka iman Azadari hai kiyo(n) ke is qaum ki pehchan Azadari hai Ye Azadari ye Azakhane , ...............................2 haq o batil ki bhi pehchan Azadari hai deen ki fath ka ailan Azadari hai yani millat ki nigehbaan Azadari hai kaun kehta hai ke be jaan Azadari hai ye to paththar ko bhi insaan banadeti hai aur insaa(n) ko musalmaan bana deti hai Ye Azadari ye Azakhane , ...............................2 Tere shaidayee tere diwane , tere ghamkhar rahe(n) qaeim Ye Azadari ye Azakhane , ...............................2 Hath jab matam e sarwar me(n) uthate hai(n) ham Chehra e dushmane dee(n) sab ko dikhate hai(n) ham Kaun kehta hai faqt ashq bahate hai(n) ham Hai lahoo paak hamara ye batate hai(n) ham Ham gham e shah mai(n) jab Aah o buqa karte hai(n) 2 Qarz tableegh e risalat ka ada karte hai(n) Ye Azadari ye Azakhane , ...............................2 Ham se pucho ke gham e shah se kia hasil hai Zikr shabbier ke raste hai(n) jina manzil hai Ye Alag baat hai ye raah zara mushkil hai Is tarah khoon mai(n) shabbir ka gham shamil hai Jab kabhi yad e shahe karbobala Aati hai Dil dharakta hai to matam ki sada Aati hai Ye Azadari ye Azakhane , ...............................2 Tere shaidayee tere diwane , tere ghamkhar rahe(n) qaeim Ye Azadari ye Azakhane , ...............................2 Jab bhi hota hai yahaa(n) zikre shahe karb o bala Ye Azakhane diya karte hai(n) ruho(n) ko ghizaa Haq baya(n) karti hai shabbir pe rone ki sada Log karte hai(n) mohabbat ki namazo(n) ko ada Jab Aazakhano(n) se Aati hai fuga(n) ki awaaz Aisa lagta hai ke jaise ho Aaza(n) ki Aawaaz Ye Azadari ye Azakhane , ...............................2 Tere shaidayee tere diwane , tere ghamkhar rahe(n) qaeim Ye Azadari ye Azakhane , ...............................2 Parcham e hazrat e Abbas uthane walo(n) Sheh ka paigham zamane ko sunane walo(n) Apna gham bhool ke gham sheh ka manane walo(n) Khush raho taziya khano(n) ko sajane walo(n) Jao jao ke tumhe(n) khuld saja deti hai Hath uthaye huwe ek bibi duwa deti hai Ye Azadari ye Azakhane , ...............................2 Tere shaidayee tere diwane , tere ghamkhar rahe(n) qaeim Ye Azadari ye Azakhane , ...............................2 8 Zindagi kaise guzari hai, kiye kia Aamaal Lamhe kis tarha kate kaise guzare hai(n) saal Hashr mai(n) hoga agar ulfat e sarwar ka sawal Ashq Aa(n)kho(n) se rawa(n) hoke kahe(n) ge ahwal Hath shabbir ke matam ki gawahi de(n)ge Ye Azakhane mere gham ki gawahi denge Ye Azadari ye Azakhane , ...............................2 Tere shaidayee tere diwane , tere ghamkhar rahe(n) qaeim Ye Azadari ye Azakhane , ...............................2 9 Aaj charche hai(n) isi baat ke insaano(n) me(n) Ashq e gham hai ya lahoo Aa(n)kho(n) ke paimano(n) me(n) Zikr e shabbir ho basti mai(n) ke wirano(n) mei(n) Aasma(n) wale bhi Aate hai(n) Azakhano(n) me(n) Dekho har simt se khushbu e jina(n) Aati hai Ba Adab baithiye shabbir ki maa(n) Aati hai Ye Azadari ye Azakhane , ...............................2 Tere shaidayee tere diwane , tere ghamkhar rahe(n) qaeim Ye Azadari ye Azakhane , ...............................2 10 Bangayee dee(n) ki taqdeer shahadat kis ki Aaj insa(n) ko rulati hai musibat kis ki Ay “faseel” aaj hai duniya ko zarorat kis ki Sach kaho sare jaha(n) par hai hukumat kis ki Kal jaha(n) par the mehal ab waha(n) wirane hai(n) Utne darbar nahi jitney Aaza khane hain Ye Azadari ye Azakhane , ...............................2 Tere shaidayee tere diwane , tere ghamkhar rahe(n) qaeim Ye Azadari ye Azakhane , ...............................2