لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Karbala ki yaad

Yousuf Raza2020
ShiaNohaLyrics
Majlis wo matam alam tabooth ghar ghar dekh kar Karbala ki yaad ati hai ye manzar dekh kar 2. Shukar ka sajda kiya Zainab ne jalti khaak par Donoo bachoon ke janazee khoon me tar dekh kar 3. Gir padhin jalti zamin par muo ke bal ummerubaab Daste shahe karbala  pat lashe Asghar  dekh kar 4. Chagaya  shahe ki  nighahoon me andhera har taraf Nowjawan bete ki maiyath  khoon me tar dekh kar 5. Khoon barsa andhiyaan chalne lagi tofaan utha Bosgahe Mustafa ko zere khanjar dekh kar 6. Sona jangal tha sakina ro Rahi thi zaar zaar Shahe ki maqtal me barehna be sar dekh kar 7. Nouke  naizah par sar  Abbas ka ruk paata na tha Narghae aadaa me Zainab ko khule sar dekh kar 8.  Qabr me bole malak aye  maherban  yusuf mujeeb Ham bahut khush hain tumhare ruq munawar dekh kar