لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Mera Abbas Kaha'n Hai

Zaheer Abbas Jafri2024
ShiaNohaLyrics
Mehmil Na Amari Na Mere Sarpe Rida Hai Mera Abbas A.S Kaha’n Hai Har Simt Tamashai Hain Bazare Jafa Hai Mera Abbas A.S Kaha’n Hai 1) Sajjad S.A Ki Aankhen Hain Masaib Ka Samanadar Faryad Wo Karta Hai Sanbhale Hui Langar Maa Behne Fupi Aayi Hain Balwe Me Khule Sar Bimar Tadpata Hai Mere Labpe Buka Hai 2) Zakhmo'n Se Badan Chhur Ghamon Se He Jigar Chak Roti Hai Zami Mujhpe Buka Karte Hain Aflaq Hathon Me Rasan Dil Me Chuban Ser Pe Mere Khak Kis Se Karun Faryad Mera Kon Yanha Hai 3) Me Uski Wafaon Ki Qasam Qasam Khati Hun Fizza Jab Ghar Se Chali Thi To Sawar Usne Kiya Tha Kiyun Chhod Gaya Mujhko Sitamgaro'n Me Tanha Fizza Me Tadapti Hun Kaho Tumko Pata Hai 4) Me Ghar Se Nikalti Thi Wo Kehta Tha Ae Logon Bazar Karo Band Nigahon Ko Jhukalo Shezadiyan Is Simt Hai Is Simt Na Dekho Ab Mere Liye Shaam Ka Bazar Saja Hai 5) Majburi Ye Sadat Pe Haste Hain Sitamgar Sajjad A.S Jigar Tham Ke Rote Hain Tadp Kar Dekha Nahi Jata Meri Aankhon Se Ye Manzar Naize Pe Sare Shah Bhi Ye Soch Raha Hai 6) Chehre Pe Pade Baal Hataungi Me Kaise Rote Hain Mujhe Dekh Ke Sab Sham Ke Raste Hai Kon Rida Aan Ke Jo Mujhko Udha De Ye Soch Ke Ab Gham Se Jigar Fatne Laga Hai 7) Matam Hai Mera Kaam Abhi Ashk Bahana Baqi Hai Abhi Sham Ke Bazar Me Jana Dekhega Mujhe Kal Bhi Wanha Sara Zamana Is Gham Ke Taswwur Se Badan Kanp Raha Hai 8) Dil Karta Hai Faryad Aseeri Ke Sitam Par Pardes Me Uftad Ki Had Ho Gai Hum Par Haste Hai Laeen Dhake Sitam Aehle Haram Par Is Sham Ke Bazar Me Jeena Bhi Saza Hai 9) Safdar Me Likhun Kaise Qayamat Ka Wo Manzar Jab Sham Ke Bazar Me Zainab S.A Ki Khule Sar Padti Thi Nazar Naizon Pe Kehti Thi Tadap Kar Naizon Pe Shahidon Ke Saro'n Ko Jo Rajha Hai