لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Shezada Ali Akbar

Zaigam Rajani2023
ShiaNohaLyrics
Is baat se zahir hai Rutba Ali Akbar ka Hota hai azano mai Charcha ali akbar ka Shabbir jhulate te Abbas ke jhule ko Abbas jhulate hai Jhula ali akbar ka Poocha gaya Yusuf se Jab Husn ke barre mai Has ke kaha ye to hai Sadqa Ali Akbar ka E Hurr teri kismat ne Kyu aaj ye karvat lee Kya subho ko dekha ta Chehra ali akbar ka Ye rut-ba-e Akbar hai Haider ke gharane mai Aghoush hai phouphi ki Jhula Ali Akbar ka Us ma ka muqadar bhi Kya khoob muqadar hai Jis ma ko bhi miljaae Sadka ali akbar ka Poocha gaya jab shah se Kyu khum hai kamar Mola Bole ke utthaya tha Laasha Ali Akbar Bibi ne kaha baitthu Kis tarha mai saaye mai Phir tha hai nighaao mai Chehra Ali Akbar