لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Mera hussain mujhe karbala bulayega

Zain Abbas2017
ShiaNohaLyrics
Karbala, karbala, karbala, karbala..(2) Ye aarzu hai ke ek baar jaau karbobala nahi hai zaad e safar dil tadap raha hai mera khabar nahi hai ke kismat mein kya likha hai hua magar khabar hai sakhi hai bohot mere maula Mujhe yaqeen hai ek roz aisa aayega mera hussain mujhe karbala bulayega..(2) 1. To kya hua jo mayassar nahi hai zaad e safar karam hussain sakhi ka jo hogaya mujhpar mai ek lamhe mein pohchunga karbala ud kar simat ti jayegi mere safar ki raah guzar naseeb mera naya raasta banayega mera hussain mujhe karbala bulayega 2. Unhe pata hai mere dil ki aarzu kya hai wo jaante hai ke dil mera kyu tadapta hai unhi ke naam se dil ba khuda dhadakta hai mere to khwaab o khayalo mein unka roza hai ataa se unki hi tabeer khwaab paayega mera hussain mujhe karbala bulayega 3. Karam se unke mai jab arz e karbala pohcha karunga khaak e shifa par mai shukr ka sajda mai pehle roza e abbas par hi jaunga ye lab jo chumenge hashim ke chand ka roza sitara mere muqaddar ka jag magayega mera hussain mujhe karbala bulayega 4. Ghume hussain mein farsh e azaa jo bichhta hai dua har ek azadar ye hi karta hai ye farsh karbobala mein mujhe bichana hai ali ke laal ka nauha waha sunana hai mera to dil ghume sarwar se phatt hi jayega mera hussain mujhe karbala bulayega 5. Karunga pursa waha jis jagah gire ghazi hai ab bhi baaki jaha'n aahein shahzadi ki lagi thi akbar e mazloom ke jaha'n barchi jaha'n pe kunbe ko ab tak hai fatima roti waha'n pe qalb mera ashk e khoo'n bahayege mera hussain mujhe karbala bulayega 6. Habib ibn e mazahir ne khwaab mein dekha hussain ibn e ali aagaye hai karbobala to jaake zauja se apni habib ne ye kaha bas aane wala hai khat mujhko shah e waala ka Bin e sakhi hai wo ab dosti nibhayega mera hussain mujhe karbala bulayega 7. Bulaye maula jo salman o zain karbobala to jaake maqtal e shabbir mein padhe noha na ek pal ko ruke nauha, matam o girya janab e zehra ka de hum hussain ka pursa hamara sabr wo hargiz na aazmayega mera hussain mujhe karbala bulayega Mujhe yaqeen hai ek roz aisa aayega mera hussain mujhe karbala bulayega..(2) Karbala, karbala, karbala, karbala..(2)