لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Mere mazloom hussain

Zille Raza2016
ShiaNohaLyrics
Alqama ke sahil par, karbala ke maqtal mein..(2) uff teri tashna dahani mere mazloom husain..(2) Paya ek qatra na paani, mere mazloom husain..(2) uff teri tashna dahani mere mazloom husain..(2) 1. Tune jo sabr kiya kisse hota wo bhala mere mazloom husain..(2) Tune jo sabr kiya kisse hota wo bhala Nahi tera koi saani, mere mazloom husain..(2) 2. Ummat e jadd ke liye, dee'n ki nusrat ke liye mere mazloom husain..(2) Ummat e jadd ke liye, dee'n ki nusrat ke liye dedi akbar ki jawani, mere mazloom husain..(2) 3. Shiddat e pyaas se tha, tera sookha wo gala mere mazloom husain..(2) Shiddat e pyaas se tha, tera sookha wo gala uspe khanjar ki rawani, mere mazloom husain..(2) 4. Halq sookha tha tera, de rahi thi ye sadaa mere mazloom husain..(2) Halq sookha tha tera, de rahi thi ye sadaa rukke khanjar ki rawani, mere mazloom husain..(2) 5. Chhid gaya soookha gala, pyaasa duniya se gaya mere mazloom husain..(2) Chhid gaya soookha gala, pyaasa duniya se gaya paaya asghar ne na paani, mere mazloom husain..(2) 6. Dedi usko bhi rida, haaye marne ke liye mere mazloom husain..(2) Dedi usko bhi rida, haaye marne ke liye jo tha bhai ki nishani, mere mazloom husain..(2) 7. Dost to dost tere, rodiye dushman  bhi mere mazloom husain..(2) Dost to dost tere, rodiye dushman  bhi teri sun sun ke kahani, mere mazloom husain..(2) 8. Nange sar hai zainab, chhin gayi haaye ghazab mere mazloom husain..(2) Nange sar hai zainab, chhin gayi haaye ghazab sar se chadar bhi purani, mere mazloom husain..(2) 9. Khoob ae fikr e zameer, aaj nauha ye likha mere mazloom husain..(2) Khoob ae fikr e zameer, aaj nauha ye likha badhi ashko ki rawani, mere mazloom husain..(2)