لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Yeh meri jaan ya hussain

Zille Raza2016
ShiaNohaLyrics
Ya hussain, ya hussain, ya hussain..(4) Yabnaz zahra, ya hussain, hussain, hussain, hussain, hussain..(3) yabnaz zahra.. ek roz jab mai majlis e shabbir mein gaya farshe azaa pe pohcha to manzar ajeeb tha the hazrat e hussain ke (aashiq hazaar haa)..(2) har aashiq e hussain ke lab par thi ye sadaa mai.. fana fil hussain..(2) be saakhta ye mera lahu bolne laga..(2) aye dasht e zulm o jaur ke mehmaan, ya hussain {yeh meri jaan ya hussain tujhpe qurbaan ya hussain}..(2) 1. Har khushi bhool ke ghum tera manaya maula banke naushaah alam tera uthaya maula maine is baat ko eemaan banaya maula..(2) kuch nahi aaya agar ghar mein na aaya maula saare armaan ya hussain, tujhpe qurbaan ya hussain yeh meri jaan... 2. Imteha teri mohabbat ka mohammad ne diya ek pehlu mai hai tu ek mein unka beta bola jibreel kisi ek ko lejaunga..(2) has ke bole ye mohammad mera beta lejaa mera zeeshan ya hussain, tujhpe qurbaan ya hussain yeh meri jaan... 3. Zindagi kya hai tere ghum ke siwa kuch bhi nahi gar tera zikr nahi zikr e khuda kuch bhi nahi likhne walo ne fazael mein likha kuch bhi nahi..(2) do jahan bhi tere matam ke bina kuch bhi nahi deeno eemaan ya hussain, tujhpe qurbaan ya hussain yeh meri jaan... 4. Mit nahi payegi duniya se kahani teri mashk o taboot o alam jhula nishani teri baat dohraega duniya mein ye paani teri..(2) ho nahi sakti kabhi yaad purani teri ye dil o jaan ya hussain, tujhpe qurbaan ya hussain yeh meri jaan... 5. Deen ki raah mein kuch bhi na bachaya tune naam e khaliq ke liye ghar ko lutaya tune jo na nabiyo se hua karke dikhaya tune..(2) sura e kahf jo naize pe sunaya tune bola qur'aan ya hussain, tujhpe qurbaan ya hussain yeh meri jaan... 6. Zindagi maangi hai bus teri azaa ki khatir sar hatheli pe liye rehte hai har dum hazir nasir e deene khuda tu hai ye tere nasir..(2) matami tifl o jawa'n peer ye tere zakir marsiya khwaan ya hussain, tujhpe qurbaan ya hussain yeh meri jaan... 7. Jab ran mein qatl hogaye ansaar e shaahe dee'n aur yawaro mein koi bhi baaqi raha nahi ghabra gayi kuch aur bhi phir zainab e hazee'n bacho ka haath thaame gai bhai ke qaree'n boli ke ye tumhari behan ka qaraar hai..(2) pyaare hussain tumpe ye bachhe nisaar hai ya hussain ibn e ali..(4) 8. Yeh baat sunke rone lage shaah zaar zaar bole ye tumne kya kaha amma ki yaadgaar inki mase na bhigi na aayi abhi bahaar aye behna ye hai haider o jafar ke gull o zaar zainab tumhare laadle khoo'n mein nahayenge..(2) ye laal humse pehle hi jannat mein jayenge ya hussain ibn e ali..(4) 9. Jitne bhi the hussain ke yaawar hue shaheed abbas o qasim o ali akbar hue shaheed hadd hai ke teer se ali asghar hue shaheed phir waqt e asr aagaya sarwar hue shaheed roohe nabi ko fatima zehra ke chayn ko maara hai teen roz ke pyaase hussain ko ya hussain ibn e ali..(6)